bewa maa ko khoon ke aansu rulaate hain charaagh
chhod kar basta kitaaben jab kamaate hain charaagh
sone chaandi taambe peetal se banaana fan nahin
ahl-e-fan hain jo ki mitti se banaate hain charaagh
aaj bhi mere watan ke chhote chhote gaav mein
shaam hote hi bade boodhe lagaate hain charaagh
kashtiyaan raaste se hat jaayen na toofaan ke sabab
ham andheron mein lab-e-saahil jalate hain charaagh
devta bhi aarti ka khoob lete hain maza
husn waale thaaliyon mein jab sajaate hain charaagh
be-tahaasha jazba-e-ulfat mein lag jaati hai aag
vo hinaai dast-e-naazuk se jalate hain charaagh
tan ke ujle man ke kaale log ye karte hain kaam
khud nahin rakhte to auron ke bujhaate hain charaagh
waqt-e-rukhsat ashk-e-larzeeda se palkon pe faraaz
subh-dam taaron ke jaise jhilmilaate hain charaagh
बेवा माँ को ख़ून के आँसू रुलाते हैं चराग़
छोड़ कर बस्ता किताबें जब कमाते हैं चराग़
सोने चाँदी ताँबे पीतल से बनाना फ़न नहीं
अहल-ए-फ़न हैं जो कि मिट्टी से बनाते हैं चराग़
आज भी मेरे वतन के छोटे छोटे गाँव में
शाम होते ही बड़े बूढ़े लगाते हैं चराग़
कश्तियाँ रस्ते से हट जाएँ न तूफ़ाँ के सबब
हम अँधेरों में लब-ए-साहिल जलाते हैं चराग़
देवता भी आरती का ख़ूब लेते हैं मज़ा
हुस्न वाले थालियों में जब सजाते हैं चराग़
बे-तहाशा जज़्बा-ए-उल्फ़त में लग जाती है आग
वो हिनाई दस्त-ए-नाज़ुक से जलाते हैं चराग़
तन के उजले मन के काले लोग ये करते हैं काम
ख़ुद नहीं रखते तो औरों के बुझाते हैं चराग़
वक़्त-ए-रुख़्सत अश्क-ए-लर्ज़ीदा से पलकों पे 'फ़राज़'
सुब्ह-दम तारों के जैसे झिलमिलाते हैं चराग़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naeem Faraz
our suggestion based on Naeem Faraz
As you were reading Hunar Shayari Shayari