lakeeren kheench kar kya kya vo kaaghaz par banata hai | लकीरें खींच कर क्या क्या वो काग़ज़ पर बनाता है

  - Naeem Faraz

lakeeren kheench kar kya kya vo kaaghaz par banata hai
tira deewana tere husn ka paikar banata hai

badalte waqt ne us ka haseen pesha badal daala
jo kal phoolon ka taajir tha vo ab khanjar banata hai

bina gehnon ke ruksat ho gai lakht-e-jigar us ki
ameeron ke liye jo qeemti zewar banata hai

chalo us shakhs ki himmat ki ham bhi daad hi de len
samundar ke kinaare ret ka jo ghar banata hai

junoon ki kaun si manzil pe aa pahuncha hai deewaana
jo suraj ke muqaabil mom ka lashkar banata hai

faraaz us ke qadam lene kabhi manzil nahin aati
safar ke sirf mansoobe hi jo akshar banata hai

लकीरें खींच कर क्या क्या वो काग़ज़ पर बनाता है
तिरा दिवाना तेरे हुस्न का पैकर बनाता है

बदलते वक़्त ने उस का हसीं पेशा बदल डाला
जो कल फूलों का ताजिर था वो अब ख़ंजर बनाता है

बिना गहनों के रुख़्सत हो गई लख़्त-ए-जिगर उस की
अमीरों के लिए जो क़ीमती ज़ेवर बनाता है

चलो उस शख़्स की हिम्मत की हम भी दाद ही दे लें
समुंदर के किनारे रेत का जो घर बनाता है

जुनूँ की कौन सी मंज़िल पे आ पहुँचा है दीवाना
जो सूरज के मुक़ाबिल मोम का लश्कर बनाता है

'फ़राज़' उस के क़दम लेने कभी मंज़िल नहीं आती
सफ़र के सिर्फ़ मंसूबे ही जो अक्सर बनाता है

  - Naeem Faraz

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Faraz

As you were reading Shayari by Naeem Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Faraz

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari