saaya kiye hue tha jo baadal nahin raha
aafat ka ye mehr magar dhal nahin raha
sar par thi us ki chaanv to maujood the hawas
pagla gaye hain ham ki vo aanchal nahin raha
jeevan ki shaahraah ko raushan kiye hue
ik hi to qumquma tha jo ab jal nahin raha
ik khoob-roo parinda badi door ja basa
ab khwahishon ka baagh mukammal nahin raha
thehre hue the ham to chale ja raha tha waqt
jab saath chal diye hain to ab chal nahin raha
dekha to us taraf koi maujood hi na tha
jab darmiyaan khauf ka daldal nahin raha
mere takhayyulaat ne jaadu sa kar diya
vo saamne na ho ke bhi ojhal nahin raha
साया किए हुए था जो बादल नहीं रहा
आफ़ात का ये मेहर मगर ढल नहीं रहा
सर पर थी उस की छाँव तो मौजूद थे हवास
पगला गए हैं हम कि वो आँचल नहीं रहा
जीवन की शाहराह को रौशन किए हुए
इक ही तो क़ुमक़ुमा था जो अब जल नहीं रहा
इक ख़ूब-रू परिंदा बड़ी दूर जा बसा
अब ख़्वाहिशों का बाग़ मुकम्मल नहीं रहा
ठहरे हुए थे हम तो चले जा रहा था वक़्त
जब साथ चल दिए हैं तो अब चल नहीं रहा
देखा तो उस तरफ़ कोई मौजूद ही न था
जब दरमियान ख़ौफ़ का दलदल नहीं रहा
मेरे तख़य्युलात ने जादू सा कर दिया
वो सामने न हो के भी ओझल नहीं रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidurrahman Niyazi
our suggestion based on Obaidurrahman Niyazi
As you were reading Parinda Shayari Shayari