pasand na-pasand ka koi bhi zaabta nahin | पसंद ना-पसंद का कोई भी ज़ाबता नहीं

  - Obaidurrahman Niyazi

pasand na-pasand ka koi bhi zaabta nahin
kabhi bhala bhi hai bura kabhi bura bura nahin

to jaise dhoop mein chamakta barf-posh kohsaar
main kaali raat ka diya tu mere husn sa nahin

vo hansta basta shakhs tha dilon pe sab ke naqsh tha
phir ek din kahi gaya kahaan gaya pata nahin

ye kya haseen baagh hai yahan hain kitni titliyan
vo ek kyun nahin yahan nahin yahan maza nahin

tamaam raat jaag kar kati hai us ke vaaste
meri sehar nahin hui vo mehr to dikha nahin

ye kya ajeeb ishq hai jo phone par hi ho gaya
qaraabaton ka shauq hi dilon mein ab raha nahin

ye bazm-e-shab saja rahe hain rang rang qumqume
magar ye kaisi bazm hai ki ik bhi dil jala nahin

suna hai mere baare mein chhapi hain aaj surkhiyaan
ye raayegaan chhapi hain un labon ne gar padha nahin

पसंद ना-पसंद का कोई भी ज़ाबता नहीं
कभी भला भी है बुरा कभी बुरा बुरा नहीं

तो जैसे धूप में चमकता बर्फ़-पोश कोहसार
मैं काली रात का दिया तू मेरे हुस्न सा नहीं

वो हँसता बस्ता शख़्स था दिलों पे सब के नक़्श था
फिर एक दिन कहीं गया कहाँ गया पता नहीं

ये क्या हसीन बाग़ है यहाँ हैं कितनी तितलियाँ
वो एक क्यों नहीं यहाँ नहीं यहाँ मज़ा नहीं

तमाम रात जाग कर कटी है उस के वास्ते
मिरी सहर नहीं हुई वो मेहर तो दिखा नहीं

ये क्या अजीब इश्क़ है जो फ़ोन पर ही हो गया
क़राबतों का शौक़ ही दिलों में अब रहा नहीं

ये बज़्म-ए-शब सजा रहे हैं रंग रंग क़ुमक़ुमे
मगर ये कैसी बज़्म है कि इक भी दिल जला नहीं

सुना है मेरे बारे में छपी हैं आज सुर्ख़ियाँ
ये राएगाँ छपी हैं उन लबों ने गर पढ़ा नहीं

  - Obaidurrahman Niyazi

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidurrahman Niyazi

As you were reading Shayari by Obaidurrahman Niyazi

Similar Writers

our suggestion based on Obaidurrahman Niyazi

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari