musaafirat meri har justuju se khaali hai | मुसाफ़िरत मिरी हर जुस्तुजू से ख़ाली है

  - Obaidurrahman Niyazi

musaafirat meri har justuju se khaali hai
bas ik madaar mein firne ki khoo bana li hai

tamaam waqt main shehr-e-gumaan mein rehta hoon
sukoon se rahne ki mantiq nayi nikaali hai

harees aariyon ki bhent chadh gaya chup-chaap
shajar pe ab koi patta na koi daali hai

hawa mein bhar gai hai boo-e-ishteha har soo
kisi gareeb ne apni rida uchaali hai

labon pe chaashni aur dil mein nafratoin ka zahar
ye aab-o-naar ki sangat badi niraali hai

bata raha hai ye patton ka maatami sa shor
chaman se jald hi aandhi guzarne waali hai

मुसाफ़िरत मिरी हर जुस्तुजू से ख़ाली है
बस इक मदार में फिरने की ख़ू बना ली है

तमाम वक़्त मैं शहर-ए-गुमाँ में रहता हूँ
सुकूँ से रहने की मंतिक़ नई निकाली है

हरीस आरियों की भेंट चढ़ गया चुप-चाप
शजर पे अब कोई पत्ता न कोई डाली है

हवा में भर गई है बू-ए-इश्तिहा हर सू
किसी ग़रीब ने अपनी रिदा उछाली है

लबों पे चाशनी और दिल में नफ़रतों का ज़हर
ये आब-ओ-नार की संगत बड़ी निराली है

बता रहा है ये पत्तों का मातमी सा शोर
चमन से जल्द ही आँधी गुज़रने वाली है

  - Obaidurrahman Niyazi

Sukoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Obaidurrahman Niyazi

As you were reading Shayari by Obaidurrahman Niyazi

Similar Writers

our suggestion based on Obaidurrahman Niyazi

Similar Moods

As you were reading Sukoon Shayari Shayari