koh-e-khudaashaat sar hua hi nahin
paar kya hai main jaanta hi nahin
main ruka tha to waqt ruk jaata
laakh roka magar ruka hi nahin
kitne armaan se khatkhataaya tha
haaye afsos dar khula hi nahin
ab koi chot lag bhi jaaye to kya
dil mein ab zakham ki jagah hi nahin
ek lamha jise main haar chuka
kaise kah doon vo mera tha hi nahin
jaane kya kho gaya tha raahon mein
aaj tak jo mujhe mila hi nahin
lazzaaten dard mein chhupi hain ubaid
raahaton mein koi maza hi nahin
कोह-ए-ख़दशात सर हुआ ही नहीं
पार क्या है मैं जानता ही नहीं
मैं रुका था तो वक़्त रुक जाता
लाख रोका मगर रुका ही नहीं
कितने अरमाँ से खटखटाया था
हाए अफ़्सोस दर खुला ही नहीं
अब कोई चोट लग भी जाए तो क्या
दिल में अब ज़ख़्म की जगह ही नहीं
एक लम्हा जिसे मैं हार चुका
कैसे कह दूँ वो मेरा था ही नहीं
जाने क्या खो गया था राहों में
आज तक जो मुझे मिला ही नहीं
लज़्ज़तें दर्द में छुपी हैं 'उबैद'
राहतों में कोई मज़ा ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidurrahman Niyazi
our suggestion based on Obaidurrahman Niyazi
As you were reading Manzil Shayari Shayari