jab aftaab samundar mein ja girata hoon | जब आफ़्ताब समुंदर में जा गिराता हूँ

  - Osama Zakir

jab aftaab samundar mein ja girata hoon
tab apne aap se baahar nikal ke aata hoon

haseen khwaabon ko saare hare parindon ko
jhulsati zaat ke sehra mein chhod aata hoon

jo tootaa hai ujaalon ke shehar mein taara
main jugnuon ke liye aashiyaan banata hoon

ye main nahin hoon ye teri nazar ka dhoka hai
tu kaun hoon main kisi ko nahin bataata hoon

जब आफ़्ताब समुंदर में जा गिराता हूँ
तब अपने आप से बाहर निकल के आता हूँ

हसीन ख़्वाबों को सारे हरे परिंदों को
झुलसती ज़ात के सहरा में छोड़ आता हूँ

जो टूटता है उजालों के शहर में तारा
मैं जुगनुओं के लिए आशियाँ बनाता हूँ

ये मैं नहीं हूँ ये तेरी नज़र का धोका है
तू कौन हूँ मैं किसी को नहीं बताता हूँ

  - Osama Zakir

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Osama Zakir

As you were reading Shayari by Osama Zakir

Similar Writers

our suggestion based on Osama Zakir

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari