manzar ka ehsaan utaara ja saka hai
aankh ko yaara bhooka maara ja saka hai
aangan aangan aag ugaai ja sakti hai
kamron mein dariya ka kinaara ja saka hai
kirchi kirchi khwaab chamakta hai aankhon mein
un se ab duniya ko sanwaara ja saka hai
kyoon mein aaine ghole ja sakte hain
chaadar-e-tan mein safar guzaara ja saka hai
jism-o-dil ki than jaane par yaad rakho
jism ko jeeto dil to haara ja saka hai
jis basti ke raashan ghar mein khoon bante
wahan faqat laashon ko sanwaara ja saka hai
jis aangan ki saanvaliyaan roti jeeten
us ke tave par chaand utaara ja saka hai
aatish-daan ka seena thanda ho saka hai
barf ka tukda ban ke sharaara ja saka hai
मंज़र का एहसान उतारा जा सकता है
आँख को यारा भूका मारा जा सकता है
आँगन आँगन आग उगाई जा सकती है
कमरों में दरिया का किनारा जा सकता है
किरची किरची ख़्वाब चमकता है आँखों में
उन से अब दुनिया को सँवारा जा सकता है
बूंदों में आइने घोले जा सकते हैं
चादर-ए-तन में सफ़र गुज़ारा जा सकता है
जिस्म-ओ-दिल की ठन जाने पर याद रखो
जिस्म को जीतो दिल तो हारा जा सकता है
जिस बस्ती के राशन घर में ख़ून बँटे
वहाँ फ़क़त लाशों को सँवारा जा सकता है
जिस आँगन की सांवलियाँ रोटी जीतें
उस के तवे पर चाँद उतारा जा सकता है
आतिश-दाँ का सीना ठंडा हो सकता है
बर्फ़ का टुकड़ा बन के शरारा जा सकता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Osama Zakir
our suggestion based on Osama Zakir
As you were reading Travel Shayari Shayari