ventilator jism ko naqli saanson se bharta tha | वेंटीलेटर जिस्म को नक़ली साँसों से भरता था

  - Osama Zakir

ventilator jism ko naqli saanson se bharta tha
main zinda tha ikhrajaat ke bojh tale marta tha

tedhe-medhe aale le ke jism pe toot pade hain
shaayad jaan gaye hain husn ki main pooja karta tha

helikopter dheere dheere utha zameen tharraai
mere dil ki ye haalat to station karta tha

sadak pe peele peele barrier sab ka rasta roken
lekin main chalne ka rasiya rukne se darta tha

red-light pe nangaa baccha kartab dikhaata tha
roz ka chalne waala raahi roz ash-ash karta tha

cafe-kafi-de mein date pe late hue thode se
haath na aaya jeevan bhar janmon ka dam bharta tha

dharne pe baithne waale paagal pichhri zaat ke the sab
dslr waala bas photo season karta tha

ik tasveer mein lehraaya neeli saari ka pallu
ek deewana us tasveer pe me-rqasam karta tha

raat ke saath jo baat guzarti shaam ko waapas laata
shaam dhale se raat gaye tak roz yahi karta tha

shakespeare ne jo likkha hai us ki apni qeemat
main tha urdu waala agha-hashr ka dam bharta tha

raat ke dil mein jhaankte jhaankte raat guzarti saari
subh alarm sun leta tha phir bistar karta tha

khud ko natasha-zaada kehta par sone se pehle
angrezee mein kursi padh kar khud par dam karta tha

वेंटीलेटर जिस्म को नक़ली साँसों से भरता था
मैं ज़िंदा था इख़राजात के बोझ तले मरता था

टेढ़े-मेढ़े आले ले के जिस्म पे टूट पड़े हैं
शायद जान गए हैं हुस्न की मैं पूजा करता था

हैलीकाप्टर धीरे धीरे उट्ठा ज़मीं थर्राई
मेरे दिल की ये हालत तो स्टेशन करता था

सड़क पे पीले पीले बैरियर सब का रस्ता रोकें
लेकिन मैं चलने का रसिया रुकने से डरता था

रेड-लाइट पे नंगा बच्चा कर्तब दिखलाता था
रोज़ का चलने वाला राही रोज़ अश-अश करता था

कैफ़े-काफ़ी-डे में डेट पे लेट हुए थोड़े से
हाथ न आया जीवन भर जन्मों का दम भरता था

धरने पे बैठने वाले पागल पिछड़ी ज़ात के थे सब
डी-एस-एल-आर वाला बस फोटो सीज़न करता था

इक तस्वीर में लहराया नीली साड़ी का पल्लू
एक दिवाना उस तस्वीर पे मी-रक़सम करता था

रात के साथ जो बात गुज़रती शाम को वापस लाता
शाम ढले से रात गए तक रोज़ यही करता था

शेक्सपियर ने जो लिक्खा है उस की अपनी क़ीमत
मैं था उर्दू वाला 'आग़ा-हश्र' का दम भरता था

रात के दिल में झाँकते झाँकते रात गुज़रती सारी
सुब्ह अलार्म सुन लेता था फिर बिस्तर करता था

ख़ुद को नतशा-ज़ादा कहता पर सोने से पहले
अंग्रेज़ी में कुर्सी पढ़ कर ख़ुद पर दम करता था

  - Osama Zakir

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Osama Zakir

As you were reading Shayari by Osama Zakir

Similar Writers

our suggestion based on Osama Zakir

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari