rone ki umr hai na sisakne ki umr hai | रोने की उम्र है न सिसकने की उम्र है

  - Owais Ahmad Dauran

rone ki umr hai na sisakne ki umr hai
jaam-e-nashaat ban ke chhalakne ki umr hai
shabnam ki boond pee ke chatkane ki umr hai
gulshan mein phool ban ke mahakne ki umr hai
sad-marhaba ye gumrahi-e-shauq chashm-o-dil
haan raah-e-aarzoo mein bhatkne ki umr hai
ik jurm hai khayaal-o-tasavvur gunaah ka
ye umr sirf pee ke bahakne ki umr hai
deewaana ban ke najd ke sehra mein ghoomie
leila ki justuju mein bhatkne ki umr hai
bechain kyun ho rooh kisi ek ke liye
har maah-vash pe jaan chhidkne ki umr hai
is daur-e-imbisaat mein b-haalat-e-junoon
har koo-e-dilbaraan mein bhatkne ki umr hai
laazim nahin ki khud ko bachaata phiroon tamaam
sheesha hoon chot kha ke darkane ki umr hai
taskin vo de rahi hain par ai qalb-e-na-suboor
tu aur bhi dhadak ki dhadkane ki umr hai
jab chal pada hoon ghar se to manzil ki shart kya
hoon rah-navard-e-shauq bhatkne ki umr hai
hoon aaftaab-e-taaza hua hoon abhi tuloo'
apne jahaan-e-nau mein chamakne ki umr hai
aiwaan o takht-o-taaj hain meri lapet mein
shola hoon main ye mere bharkane ki umr hai
douraan main bazm-e-dost mein chhedu na kyun ghazal
ye zamzame ke din hain lahakne ki umr hai

रोने की उम्र है न सिसकने की उम्र है
जाम-ए-नशात बन के छलकने की उम्र है
शबनम की बूँद पी के चटकने की उम्र है
गुलशन में फूल बन के महकने की उम्र है
सद-मर्हबा ये गुमरही-ए-शौक़ चश्म-ओ-दिल
हाँ राह-ए-आरज़ू में भटकने की उम्र है
इक जुर्म है ख़याल-ओ-तसव्वुर गुनाह का
ये उम्र सिर्फ़ पी के बहकने की उम्र है
दीवाना बन के नज्द के सहरा में घूमिए
लैला की जुस्तुजू में भटकने की उम्र है
बेचैन क्यूँ हो रूह किसी एक के लिए
हर माह-वश पे जान छिड़कने की उम्र है
इस दौर-ए-इम्बिसात में ब-हालत-ए-जुनूँ
हर कू-ए-दिलबराँ में भटकने की उम्र है
लाज़िम नहीं कि ख़ुद को बचाता फिरूँ तमाम
शीशा हूँ चोट खा के दरकने की उम्र है
तस्कीं वो दे रही हैं पर ऐ क़ल्ब-ए-ना-सुबूर
तू और भी धड़क कि धड़कने की उम्र है
जब चल पड़ा हूँ घर से तो मंज़िल की शर्त क्या
हूँ रह-नवर्द-ए-शौक़ भटकने की उम्र है
हूँ आफ़्ताब-ए-ताज़ा हुआ हूँ अभी तुलू'अ
अपने जहान-ए-नौ में चमकने की उम्र है
ऐवान ओ तख़्त-ओ-ताज हैं मेरी लपेट में
शोला हूँ मैं ये मेरे भड़कने की उम्र है
'दौराँ' मैं बज़्म-ए-दोस्त में छेड़ूँ न क्यूँ ग़ज़ल
ये ज़मज़मे के दिन हैं लहकने की उम्र है

  - Owais Ahmad Dauran

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Owais Ahmad Dauran

As you were reading Shayari by Owais Ahmad Dauran

Similar Writers

our suggestion based on Owais Ahmad Dauran

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari