na rusva is tarah karte bula kar mujh ko mehfil mein | न रुस्वा इस तरह करते बुला कर मुझ को महफ़िल में

  - Pandit Vidya Rattan Asi

na rusva is tarah karte bula kar mujh ko mehfil mein
agar paas-e-wafa hota zara bhi aap ke dil mein

na ab vo valvale baaki na ab vo hausale dil mein
mera hona na hona ek hai duniya ki mehfil mein

hawadis se hai nisbat khaas aise zindagaani ko
hai qaaim rabt-e-baaham jis tarah dariya-o-saahil mein

badi muddat se ye aalam na jeeta hoon na marta hoon
badi muddat se meri zindagi hai sakht mushkil mein

abhi koi bala tooti abhi koi sitam toota
raha jab tak main zinda ik yahi khadsha raha dil mein

meri hasti ki kashti ka thikaana hi nahin koi
abhi aaghosh-e-toofaan mein abhi aaghosh-e-saahil mein

tumheen socho mera jeena koi jeene mein jeena hai
na koi aarzoo dil mein na koi muddaa dil mein

safeena zindagi ka nazr-e-toofaan kar diya aasi
tujhe aakhir ye kya soojhi ye kya aayi tire dil mein

न रुस्वा इस तरह करते बुला कर मुझ को महफ़िल में
अगर पास-ए-वफ़ा होता ज़रा भी आप के दिल में

न अब वो वलवले बाक़ी न अब वो हौसले दिल में
मिरा होना न होना एक है दुनिया की महफ़िल में

हवादिस से है निस्बत ख़ास ऐसे ज़िंदगानी को
है क़ाएम रब्त-ए-बाहम जिस तरह दरिया-ओ-साहिल में

बड़ी मुद्दत से ये आलम न जीता हूँ न मरता हूँ
बड़ी मुद्दत से मेरी ज़िंदगी है सख़्त मुश्किल में

अभी कोई बला टूटी अभी कोई सितम टूटा
रहा जब तक मैं ज़िंदा इक यही ख़दशा रहा दिल में

मिरी हस्ती की कश्ती का ठिकाना ही नहीं कोई
अभी आग़ोश-ए-तूफ़ाँ में अभी आग़ोश-ए-साहिल में

तुम्हीं सोचो मिरा जीना कोई जीने में जीना है
न कोई आरज़ू दिल में न कोई मुद्दआ' दिल में

सफ़ीना ज़िंदगी का नज़्र-ए-तूफ़ाँ कर दिया 'आसी'
तुझे आख़िर ये क्या सूझी ये क्या आई तिरे दिल में

  - Pandit Vidya Rattan Asi

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Pandit Vidya Rattan Asi

As you were reading Shayari by Pandit Vidya Rattan Asi

Similar Writers

our suggestion based on Pandit Vidya Rattan Asi

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari