sharm kar lo | "शर्म कर लो" - Piyush Mishra

sharm kar lo

zinda ho haan tum koi shak nahin
saans lete hue dekha maine bhi hai
haath au pairo'n aur jism ko harkatein
khoob dete hue dekha maine bhi hai
ab bhale ho ye karte hue hont tum
dard sahte hue sakht si lete ho
ab hai itna bhi kam kya tumhaare liye
khoob apni samajh mein to jee lete ho
gehraati raaton mein uthati karaahat ko
andar hi andar dabate to hoge
agli subah phir barsne ko betaab
kodoon ko dil mein sajaate to hoge
zamaane ki thokar ko sah ke sadak pe yun
cheekh'on ko dil mein sajaate to hoge
zamaane ki thokar ko sah ke sadak pe yun
cheekh'on ki zahmat uthaate to hoge
rote se chehre pe latki-si gardan ka
thoda izafa badhaate to hoge
socha kabhi hai ki zinda yun rahne ke
matlab ke maane hain kaise kahi
zinda yun rahne ke maane pe thookein jo
zinda yun rahne ka matlab yahi
badboo ko balgham ko khushboo ki marham
bata ke bharam mein ho mal-mal rahe
keeda hai vo sang keedon ki duniya mein
keeda hi ban ke jo har pal rahe

"शर्म कर लो"

ज़िंदा हो हाँ तुम कोई शक नहीं
साँस लेते हुए देखा मैंने भी है
हाथ औ’ पैरों और जिस्म को हरकतें
ख़ूब देते हुए देखा मैंने भी है
अब भले हो ये करते हुए होंठ तुम
दर्द सहते हुए सख़्त सी लेते हो
अब है इतना भी कम क्या तुम्हारे लिए
ख़ूब अपनी समझ में तो जी लेते हो
गहराती रातों में उठती कराहट को
अंदर ही अंदर दबाते तो होगे
अगली सुबह फिर बरसने को बेताब
कोड़ों को दिल में सजाते तो होगे
ज़माने की ठोकर को सह के सड़क पे यूँ
चीख़ों को दिल में सजाते तो होगे
ज़माने की ठोकर को सह के सड़क पे यूँ
चीख़ों की ज़हमत उठाते तो होगे
रोते से चेहरे पे लटकी-सी गर्दन का
थोड़ा इज़ाफ़ा बढ़ाते तो होगे
सोचा कभी है कि ज़िंदा यूँ रहने के
मतलब के माने हैं कैसे कहीं
ज़िंदा यूँ रहने के माने पे थूकें जो
ज़िंदा यूँ रहने का मतलब यही
बदबू को बलग़म को ख़ुशबू की मरहम
बता के भरम में हो मल-मल रहे
कीड़ा है वो संग कीड़ों की दुनिया में
कीड़ा ही बन के जो हर पल रहे

- Piyush Mishra
5 Likes

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Piyush Mishra

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari