phir bahut din baad yaaron hamko iq ladki mili
hijr paaya dard paaya aur pareshaani mili
kyun dikhaate zakham apne maangte marham bhi kyun
jab sabhi ke haath me hamko namak daani mili
raat dekha khwaab chaknachoor main hote hue
tha adhoora khwaab to phir kyun saza poori mili
iq haseena saath uske aur do bacche bhi the
park me hamko tahlati aaj majboori mili
likhte likhte soya aur uththa subah ko jab kamaal
she'r saare the muqammal har ghazal poori mili
फिर बहुत दिन बाद यारों हमको इक़ लडकी मिली
हिज्र पाया दर्द पाया और परेशानी मिली
क्यों दिखाते जख़्म अपने माँगते मरहम भी क्यों?
जब सभी के हाथ मे हमको नमक़ दानी मिली
रात देखा ख़्वाब चकनाचूर मैं होते हुए
था अधूरा ख़्वाब तो फिर क्यों सज़ा पूरी मिली
इक़ हँसीना साथ उसके और दो बच्चे भी थे
पार्क मे हमको टहलती आज मजबूरी मिली
लिखते लिखते सोया और उठ्ठा सुबह को जब कमाल
शे'र सारे थे मुक़म्मल हर गज़ल पूरी मिली
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abuzar kamaal
our suggestion based on Abuzar kamaal
As you were reading Gunaah Shayari Shayari