sulag rahi hai zameen ya sipahr aankhon mein | सुलग रही है ज़मीं या सिपहर आँखों में - Qaisar Shameem

sulag rahi hai zameen ya sipahr aankhon mein
dhuaan dhuaan sa hai kyun tera shehar aankhon mein

khule dariche ke baahar hai kaun sa mausam
ki aag bharne lagi sard lehar aankhon mein

kahaan hai neend ki ham khwaab dekhen amrit ka
jo shaam guzri hai us ka hai zahar aankhon mein

khafa hue bhi kisi se to kya kiya ham ne
bahut hua to raha dil ka qahar aankhon mein

koi utaarne baithe to haath jal jaaye
khinchi hai ab ke vo tasveer-e-dehr aankhon mein

wahi hai pyaas ka manzar wahi lahu qaisar
hanooz phirti hai kone ki nahar aankhon mein

सुलग रही है ज़मीं या सिपहर आँखों में
धुआँ धुआँ सा है क्यूँ तेरा शहर आँखों में

खुले दरीचे के बाहर है कौन सा मौसम
कि आग भरने लगी सर्द लहर आँखों में

कहाँ है नींद कि हम ख़्वाब देखें अमृत का
जो शाम गुज़री है उस का है ज़हर आँखों में

ख़फ़ा हुए भी किसी से तो क्या किया हम ने
बहुत हुआ तो रहा दिल का क़हर आँखों में

कोई उतारने बैठे तो हाथ जल जाए
खिंची है अब के वो तस्वीर-ए-दहर आँखों में

वही है प्यास का मंज़र वही लहू 'क़ैसर'
हनूज़ फिरती है कोने की नहर आँखों में

- Qaisar Shameem
1 Like

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Shameem

As you were reading Shayari by Qaisar Shameem

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Shameem

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari