ubalte paaniyon mein hoon kahaan ubaal ki tarah
main aaj bhi hoon tah-nasheen guzishta saal ki tarah
dilon mein sab ke chubh rahi hai ik sawaal ki tarah
tiri nigaah-e-yaas bhi hai mere haal ki tarah
karunga tujh se guftugoo zara thehar nimat to luun
khada hai koi beech mein abhi sawaal ki tarah
na pooch mujh se haal dil ki in dinon hai zindagi
kisi urooj-e-deeda ki shab-e-zawaal ki tarah
vo ek yaad jo abhi hai daag-e-dil bani hui
fisal na jaaye zehan se kisi khayal ki tarah
na pooch qaisar'-e-hazeen ajeeb si vo cheez hai
bichi hui hai shehar mein jo ek jaal ki tarah
उबलते पानियों में हूँ कहाँ उबाल की तरह
मैं आज भी हूँ तह-नशीं गुज़िश्ता साल की तरह
दिलों में सब के चुभ रही है इक सवाल की तरह
तिरी निगाह-ए-यास भी है मेरे हाल की तरह
करूँगा तुझ से गुफ़्तुगू ज़रा ठहर निमट तो लूँ
खड़ा है कोई बीच में अभी सवाल की तरह
न पूछ मुझ से हाल दिल कि इन दिनों है ज़िंदगी
किसी उरूज-ए-दीदा की शब-ए-ज़वाल की तरह
वो एक याद जो अभी है दाग़-ए-दिल बनी हुई
फिसल न जाए ज़ेहन से किसी ख़याल की तरह
न पूछ 'क़ैसर'-ए-हज़ीं अजीब सी वो चीज़ है
बिछी हुई है शहर में जो एक जाल की तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Shameem
our suggestion based on Qaisar Shameem
As you were reading Gaon Shayari Shayari