hone lage hain raaste raaste aapas ke takraav bahut
ek saath ke chalne waalon mein bhi hai alagaav bahut
bahke bahke se baadal hain kya jaane ye jaayen kidhar
badli hui hawaon ka hai un par aaj dabaav bahut
soch ka hai ye fer ki yaaro pech-o-kham ki duniya mein
dhundh rahe ho aisa rasta jis mein nahin ghumaav bahut
apne-aap mein uljhi hui ik duniya hai har shakhs yahan
suljhe hue zehnon mein bhi hain chhupe hue uljhaav bahut
mere ahad ke insaano ko padh lena koi khel nahin
oopar se hai mel-mohabbat andar se hai khinchaav bahut
होने लगे हैं रस्ते रस्ते, आपस के टकराव बहुत
एक साथ के चलने वालों में भी है अलगाव बहुत
बहके बहके से बादल हैं क्या जाने ये जाएँ किधर
बदली हुई हवाओं का है उन पर आज दबाव बहुत
सोच का है ये फेर कि यारो पेच-ओ-ख़म की दुनिया में
ढूँड रहे हो ऐसा रस्ता जिस में नहीं घुमाव बहुत
अपने-आप में उलझी हुई इक दुनिया है हर शख़्स यहाँ
सुलझे हुए ज़ेहनों में भी हैं छुपे हुए उलझाव बहुत
मेरे अहद के इंसानों को पढ़ लेना कोई खेल नहीं
ऊपर से है मेल-मोहब्बत, अंदर से है खिंचाव बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Shameem
our suggestion based on Qaisar Shameem
As you were reading Raasta Shayari Shayari