vo jo sab ka bahut chahiita tha
qabr ki saa'aton mein tanhaa tha
jis ne duniya ko khoob dekha tha
us ki aankhon mein qahqaha sa tha
ranj kya khwaab ke bikharna ka
kuchh na tha ret ka gharaunda tha
us ke aangan mein raushni thi magar
ghar ke andar bada andhera tha
vo bhi pathra ke rah gaya aakhir
us ki aankhon mein jo savera tha
ek pinjra udaas tanhaai
us ne kya kya khuda se maanga tha
shaakh jhulsi hui thi aur us par
ek sehama hua parinda tha
qahqahon ki baraat nikli thi
dard ki cheekh kaun sunta tha
pul na tha aur saamne us ke
ek toofaan-b-dosh dariya tha
ek khushboo ka baantne waala
gandi basti ka rahne waala tha
dukh mein aakhir ye khul gaya qaisar
naam ik maslahat ka rishta tha
वो जो सब का बहुत चहीता था
क़ब्र की साअ'तों में तन्हा था
जिस ने दुनिया को ख़ूब देखा था
उस की आँखों में क़हक़हा सा था
रंज क्या ख़्वाब के बिखरने का
कुछ न था रेत का घरौंदा था
उस के आँगन में रौशनी थी मगर
घर के अंदर बड़ा अंधेरा था
वो भी पथरा के रह गया आख़िर
उस की आँखों में जो सवेरा था
एक पिंजरा उदास तन्हाई
उस ने क्या क्या ख़ुदा से माँगा था
शाख़ झुलसी हुई थी और उस पर
एक सहमा हुआ परिंदा था
क़हक़हों की बरात निकली थी
दर्द की चीख़ कौन सुनता था
पुल न था और सामने उस के
एक तूफ़ाँ-ब-दोश दरिया था
एक ख़ुशबू का बाँटने वाला
गंदी बस्ती का रहने वाला था
दुख में आख़िर ये खुल गया 'क़ैसर'
नाम इक मस्लहत का रिश्ता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Shameem
our suggestion based on Qaisar Shameem
As you were reading Aangan Shayari Shayari