mausam to badalte hain lekin kya garm hawa kya sard hawa | मौसम तो बदलते हैं लेकिन क्या गर्म हवा क्या सर्द हवा - Qaisar Shameem

mausam to badalte hain lekin kya garm hawa kya sard hawa
ai dost hamaare aangan mein rahti hai hamesha zard hawa

sab apne shanaasa chhod gaye raaste mein hamein ghairoon ki tarah
chehre pe hamaare daal gai la kar ye kahaan ki gard hawa

chhoote na kabhi phoolon ka nagar koshish to yahi hai apni magar
ik roz uda le jaayegi patton ki tarah be-dard hawa

kya baat hui kyun shehar jala ab is ke siva kuchh yaad nahin
ik fard saraapa aag hua pal-bhar mein hua ik fard hawa

aayi hai ghane jungle mein abhi jo khel bhi chahe khele magar
kal mere saath udaaegi phir sehra sehra gard hawa

aankhon ki chamak mauhoom hui lau dete badan afsurda hue
dar aayi hai qaisar ghar mein mere ye kaisi rutoon ki sard hawa

मौसम तो बदलते हैं लेकिन क्या गर्म हवा क्या सर्द हवा
ऐ दोस्त हमारे आँगन में रहती है हमेशा ज़र्द हवा

सब अपने शनासा छोड़ गए रस्ते में हमें ग़ैरों की तरह
चेहरे पे हमारे डाल गई ला कर ये कहाँ की गर्द हवा

छूटे न कभी फूलों का नगर कोशिश तो यही है अपनी मगर
इक रोज़ उड़ा ले जाएगी पत्तों की तरह बे-दर्द हवा

क्या बात हुई क्यूँ शहर जला अब इस के सिवा कुछ याद नहीं
इक फ़र्द सरापा आग हुआ पल-भर में हुआ इक फ़र्द हवा

आई है घने जंगल में अभी जो खेल भी चाहे खेले मगर
कल मेरे साथ उड़ाएगी फिर सहरा सहरा गर्द हवा

आँखों की चमक मौहूम हुई लौ देते बदन अफ़्सुर्दा हुए
दर आई है 'क़ैसर' घर में मिरे ये कैसी रुतों की सर्द हवा

- Qaisar Shameem
1 Like

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Shameem

As you were reading Shayari by Qaisar Shameem

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Shameem

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari