kahaan hai koi khuda ka khuda ke bandon mein | कहाँ है कोई ख़ुदा का ख़ुदा के बंदों में - Qaisar Shameem

kahaan hai koi khuda ka khuda ke bandon mein
ghira hua hoon abhi tak ana ke bandon mein

na koi samt mukarrar na koi jaa-e-qaraar
hai intishaar ka aalam hawa ke bandon mein

vo kaun hai jo nahin apni maslahat ka ghulaam
kahaan hai boo-e-wafa ab wafa ke bandon mein

khuda kare ki sama'at se main rahoon mahroom
kabhi jo zikr ho mera riya ke bandon mein

sazaayein meri tarah hans ke jhelne waala
nahin hai koi bhi ahad-e-sazaa ke bandon mein

na aafiyat ki sehar hai na imbisaat ki shaam
hoon ek umr se sehra bala ke bandon mein

sukhun shanaas hai kitna ye pooch luun qaisar
nazar vo aaye jo harf-o-nawa ke bandon mein

कहाँ है कोई ख़ुदा का ख़ुदा के बंदों में
घिरा हुआ हूँ अभी तक अना के बंदों में

न कोई सम्त मुक़र्रर न कोई जा-ए-क़रार
है इंतिशार का आलम हवा के बंदों में

वो कौन है जो नहीं अपनी मस्लहत का ग़ुलाम
कहाँ है बू-ए-वफ़ा अब वफ़ा के बंदों में

ख़ुदा करे कि समाअ'त से मैं रहूँ महरूम
कभी जो ज़िक्र हो मेरा रिया के बंदों में

सज़ाएँ मेरी तरह हँस के झेलने वाला
नहीं है कोई भी अहद-ए-सज़ा के बंदों में

ना आफ़ियत की सहर है न इम्बिसात की शाम
हूँ एक उम्र से सहरा बला के बंदों में

सुख़न शनास है कितना ये पूछ लूँ 'क़ैसर'
नज़र वो आए जो हर्फ़-ओ-नवा के बंदों में

- Qaisar Shameem
1 Like

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Shameem

As you were reading Shayari by Qaisar Shameem

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Shameem

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari