mohabbat vo hai jis mein kuchh kisi se ho nahin saka
jo ho saka hai vo bhi aadmi se ho nahin saka
ye kehna hai to kya kehna ki kahte kahte ruk jaana
bayaan-e-hasrat-e-dil bhi to jee se ho nahin saka
uchatti si nigaahen kab jigar ke paar hoti hain
karo khun dost ban kar dushmani se ho nahin saka
hamein kyun dil diya aur dilrubaaai un mein kyun rakhi
khuda dushman buton ki bandagi se ho nahin saka
dam-e-rukhsat vo mujh ko dekh kar be-khud to kya hoga
na uthne den unhen ye bhi ghashi se ho nahin saka
b-rang-e-naala kis kis dhoom se udta hai rang apna
tiri furqat ka parda khaamoshi se ho nahin saka
qalq paighaam tera aur bayaan phir us sitamgar se
kisi se ho nahin saka kisi se ho nahin saka
मोहब्बत वो है जिस में कुछ किसी से हो नहीं सकता
जो हो सकता है वो भी आदमी से हो नहीं सकता
ये कहना है तो क्या कहना कि कहते कहते रुक जाना
बयान-ए-हसरत-ए-दिल भी तो जी से हो नहीं सकता
उचटती सी निगाहें कब जिगर के पार होती हैं
करो ख़ूँ दोस्त बन कर दुश्मनी से हो नहीं सकता
हमें क्यों दिल दिया और दिलरुबाई उन में क्यों रक्खी
ख़ुदा दुश्मन बुतों की बंदगी से हो नहीं सकता
दम-ए-रुख़्सत वो मुझ को देख कर बे-ख़ुद तो क्या होगा
न उठने दें उन्हें ये भी ग़शी से हो नहीं सकता
ब-रंग-ए-नाला किस किस धूम से उड़ता है रंग अपना
तिरी फ़ुर्क़त का पर्दा ख़ामुशी से हो नहीं सकता
'क़लक़' पैग़ाम तेरा और बयाँ फिर उस सितमगर से
किसी से हो नहीं सकता किसी से हो नहीं सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qalaq Merathi
our suggestion based on Qalaq Merathi
As you were reading Dost Shayari Shayari