maatam-e-deed hai deedaar ka khwaahan hona | मातम-ए-दीद है दीदार का ख़्वाहाँ होना

  - Qalaq Merathi

maatam-e-deed hai deedaar ka khwaahan hona
jis qadar dekhna utna hi pashemaan hona

sakht dushwaar hai aasaan ka aasaan hona
khoon-e-fursat hai yahan sar-b-garebaan hona

tera deewaana to vehshat ki bhi had se nikla
ki biyaabaan ko bhi chahe hai biyaabaan hona

koocha-e-ghair mein kyun kar na banaaun ghar ko
meri aabaadi se aabaad hai veeraan hona

khaak-e-vahshi se agar rabt hai thokar ko tiri
daur-e-daaman se nahin daur-e-garebaan hona

na vo khun hi hai jigar mein na vo rone ka dimaagh
mil gaya khaak mein har ashk ka toofaan hona

jee ka jee hi mein raha harf-e-tamanna afsos
kehna kuchh aap hi aur aap pashemaan hona

dil se andaaz-e-shikan zulf ne sab jam'a kiye
chhed kar us ko kahi tu na pareshaan hona

tujh ko armaan-e-kharaabi hai jo ai dehli aur
seekh ja ghar mein mere rah ke biyaabaan hona

dil hai ik qatra-e-khoon jis pe ye seena zori
kuchh samajhta hi nahin hum-saf-e-mizgaan hona

mujh mein kuchh taab ho ai jaan to main be-taab rahoon
warna dushwaar hai is raaz ka pinhaan hona

yaad-e-mizgaan se idhar zakham-e-jigar par khaana
aur udhar shorish-e-dil se namak-afshaan hona

aaj vo waqt qalq par hai ki jun ibn-e-khaleel
gair tasleem nahin qatl ka aasaan hona

मातम-ए-दीद है दीदार का ख़्वाहाँ होना
जिस क़दर देखना उतना ही पशेमाँ होना

सख़्त दुश्वार है आसान का आसाँ होना
ख़ून-ए-फ़ुर्सत है यहाँ सर-ब-गरेबाँ होना

तेरा दीवाना तो वहशत की भी हद से निकला
कि बयाबाँ को भी चाहे है बयाबाँ होना

कूचा-ए-ग़ैर में क्यूँ कर न बनाऊँ घर को
मेरी आबादी से आबाद है वीराँ होना

ख़ाक-ए-वहशी से अगर रब्त है ठोकर को तिरी
दौर-ए-दामन से नहीं दौर-ए-गरेबाँ होना

न वो ख़ूँ ही है जिगर में न वो रोने का दिमाग़
मिल गया ख़ाक में हर अश्क का तूफ़ाँ होना

जी का जी ही में रहा हर्फ़-ए-तमन्ना अफ़्सोस
कहना कुछ आप ही और आप पशेमाँ होना

दिल से अंदाज़-ए-शिकन ज़ुल्फ़ ने सब जम्अ' किए
छेड़ कर उस को कहीं तू न परेशाँ होना

तुझ को अरमान-ए-ख़राबी है जो ऐ देहली और
सीख जा घर में मिरे रह के बयाबाँ होना

दिल है इक क़तरा-ए-ख़ूँ जिस पे ये सीना ज़ोरी
कुछ समझता ही नहीं हम-सफ़-ए-मिज़्गाँ होना

मुझ में कुछ ताब हो ऐ जाँ तो मैं बे-ताब रहूँ
वर्ना दुश्वार है इस राज़ का पिन्हाँ होना

याद-ए-मिज़्गाँ से इधर ज़ख़्म-ए-जिगर पर खाना
और उधर शोरिश-ए-दिल से नमक-अफ़्शाँ होना

आज वो वक़्त 'क़लक़' पर है कि जूँ इब्न-ए-ख़लील
ग़ैर तस्लीम नहीं क़त्ल का आसाँ होना

  - Qalaq Merathi

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qalaq Merathi

As you were reading Shayari by Qalaq Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Qalaq Merathi

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari