kis qadar dilruba-numa hai dil | किस क़दर दिलरुबा-नुमा है दिल

  - Qalaq Merathi

kis qadar dilruba-numa hai dil
khaana-e-ghair ho gaya hai dil

har ghadi kyun na zalzale mein rahe
mashhad-e-hasrat-o-wafa hai dil

maut bhi sahal kuchh nahin apni
kis liye taqat-aazma hai dil

maslahat is mein ho na koi kaash
dushman-e-jaan ho gaya hai dil

sab se lag chalne ki hui hai kho
kis qadar sarf-e-aashna hai dil

shaikh-e-sanaan ka yaad hai qissa
sakht kaafir buri bala hai dil

apni haalat mein mubtala hoon aap
dil-ruba jaan hai jaan-ruba hai dil

balbe waamaandagi ki tez ravi
jaise jaane pe aa gaya hai dil

kis jafa-kaar ki wafa hai jaan
kis sitam-kash ka muddaa hai dil

teri ulfat ka naqd daag-e-jigar
meri hasrat ka khoon-bahaa hai dil

kahiye kis se laga liya lagga
ai qalq kyun ke lag chala hai dil

किस क़दर दिलरुबा-नुमा है दिल
ख़ाना-ए-ग़ैर हो गया है दिल

हर घड़ी क्यूँ न ज़लज़ले में रहे
मशहद-ए-हसरत-ओ-वफ़ा है दिल

मौत भी सहल कुछ नहीं अपनी
किस लिए ताक़त-आज़मा है दिल

मस्लहत इस में हो न कोई काश
दुश्मन-ए-जान हो गया है दिल

सब से लग चलने की हुई है खो
किस क़दर सर्फ़-ए-आश्ना है दिल

शैख़-ए-सनआँ का याद है क़िस्सा
सख़्त काफ़िर बुरी बला है दिल

अपनी हालत में मुब्तला हूँ आप
दिल-रुबा जाँ है जाँ-रुबा है दिल

बलबे वामांदगी की तेज़ रवी
जैसे जाने पे आ गया है दिल

किस जफ़ा-कार की वफ़ा है जाँ
किस सितम-कश का मुद्दआ' है दिल

तेरी उल्फ़त का नक़्द दाग़-ए-जिगर
मेरी हसरत का ख़ूँ-बहा है दिल

कहिए किस से लगा लिया लग्गा
ऐ 'क़लक़' क्यूँ के लग चला है दिल

  - Qalaq Merathi

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qalaq Merathi

As you were reading Shayari by Qalaq Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Qalaq Merathi

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari