ehsaas-e-bandagi se begaana kar diya hai | एहसास-ए-बंदगी से बेगाना कर दिया है

  - Raaz Yazdani

ehsaas-e-bandagi se begaana kar diya hai
ifraat-e-bandagi ne deewaana kar diya hai

jo raaz ittifaqan munh se nikal gaya tha
vo raaz ehtiyaatan afsaana kar diya hai

main ne qadam qadam par ka'ba bana bana kar
ka'be mein ehtimaaman but-khaana kar diya hai

laazim hai ehtiyaat ab har lafz-e-guftugoo mein
duniya ne raaz kis ko rusva na kar diya hai

एहसास-ए-बंदगी से बेगाना कर दिया है
इफ़रात-ए-बंदगी ने दीवाना कर दिया है

जो राज़ इत्तिफ़ाक़न मुँह से निकल गया था
वो राज़ एहतियातन अफ़्साना कर दिया है

मैं ने क़दम क़दम पर का'बा बना बना कर
का'बे में एहतिमामन बुत-ख़ाना कर दिया है

लाज़िम है एहतियात अब हर लफ़्ज़-ए-गुफ़्तुगू में
दुनिया ने 'राज़' किस को रुस्वा न कर दिया है

  - Raaz Yazdani

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raaz Yazdani

As you were reading Shayari by Raaz Yazdani

Similar Writers

our suggestion based on Raaz Yazdani

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari