nahin ki apni tabaahi ka raaz ko gham hai
tumhaari zehmat-e-ahd-e-karam ka maatam hai
nisaar-e-jalwa dil-o-deen zara naqaab utha
vo ek lamha sahi ek lamha kya kam hai
kisi ne chaak kiya hai gulon ka pairaahan
shua-e-mehr tujhe etimaad-e-shabnam hai
qaza ka khauf hai achha magar is aafat mein
ye mo'jiza bhi ki ham jee rahe hain kya kam hai
vo raqs-e-sho'la vo soz-o-gudaaz-e-parwaana
jidhar charaagh hain raushan ajeeb aalam hai
hudood-e-dair-o-haram se guzar chuka shaayad
ki ab ijaazat-e-sajda hai aur paiham hai
shameem-e-ghuncha-o-gul rang-e-laala naghma-e-mauj
tire jamaal ki jo sharh hai vo mubham hai
lataafaton se zamaana bhara pada hai magar
meri nazar ki zaroorat se kis qadar kam hai
fareb dil ne mohabbat mein khaaye hain kya kya
har ik fareb par ab tak yaqeen-e-mohkam hai
meri nigaah kahaan tak jawaab de aakhir
tiri nigaah ka har har sawaal mubham hai
abhi to apni nigaahon ke iltifaat ko rok
abhi to manzar-e-hasti tamaam mubham hai
नहीं कि अपनी तबाही का 'राज़' को ग़म है
तुम्हारी ज़हमत-ए-अहद-ए-करम का मातम है
निसार-ए-जल्वा दिल-ओ-दीं ज़रा नक़ाब उठा
वो एक लम्हा सही एक लम्हा क्या कम है
किसी ने चाक किया है गुलों का पैराहन
शुआ-ए-मेहर तुझे ए'तिमाद-ए-शबनम है
क़ज़ा का ख़ौफ़ है अच्छा मगर इस आफ़त में
ये मो'जिज़ा भी कि हम जी रहे हैं क्या कम है
वो रक़्स-ए-शो'ला वो सोज़-ओ-गुदाज़-ए-परवाना
जिधर चराग़ हैं रौशन अजीब आलम है
हुदूद-ए-दैर-ओ-हरम से गुज़र चुका शायद
कि अब इजाज़त-ए-सज्दा है और पैहम है
शमीम-ए-ग़ुन्चा-ओ-गुल रंग-ए-लाला नग़्मा-ए-मौज
तिरे जमाल की जो शरह है वो मुबहम है
लताफ़तों से ज़माना भरा पड़ा है मगर
मिरी नज़र की ज़रूरत से किस क़दर कम है
फ़रेब दिल ने मोहब्बत में खाए हैं क्या क्या
हर इक फ़रेब पर अब तक यक़ीन-ए-मोहकम है
मिरी निगाह कहाँ तक जवाब दे आख़िर
तिरी निगाह का हर हर सवाल मुबहम है
अभी तो अपनी निगाहों के इल्तिफ़ात को रोक
अभी तो मंज़र-ए-हस्ती तमाम मुबहम है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raaz Yazdani
our suggestion based on Raaz Yazdani
As you were reading I love you Shayari Shayari