sochie ham se taghaaful bhi baja hai ki nahin | सोचिए हम से तग़ाफ़ुल भी बजा है कि नहीं

  - Raaz Yazdani

sochie ham se taghaaful bhi baja hai ki nahin
ki yahi maqsad-e-arbaab-e-fanaa hai ki nahin

zeest mein lamha-e-andoh-jafa hai ki nahin
ai mohabbat koi teri bhi khata hai ki nahin

past kar dete hain maujon ko ubharne waale
doobna khud na ubharne ki saza hai ki nahin

chaanv mein phoolon ki aankhen to michee jaati hain
kaun dekhe ye chaman jaag chuka hai ki nahin

haan mere ishq ne soche the bade hangaame
tu ne chhup chhup ke sahaara bhi diya hai ki nahin

kya galat ishq ko hai jurm-e-wafa ka iqaar
husn par zehmat-e-bedaad-o-jafa hai ki nahin

tujh ko bedaari-e-gulshan ki qasam hai ki bahaar
zehan-e-insaan bhi kahi jaag raha hai ki nahin

sab hain shaahid ke bhulaane ka bahaana kar ke
main ne har waqt tira naam liya hai ki nahin

kis ko jeene se hai furqat jo ye soche ki mujhe
koi kaam aur bhi jeene ke siva hai ki nahin

shukriya aap ke ehsaas-e-jafa ka lekin
ye karam fitna-e-aaghaaz-e-jafa hai ki nahin

hai abhi faisla baaki ki dilon par ab tak
aap se koi sitam ho bhi saka hai ki nahin

raaz phoolon pe bahaaron ka karam hai lekin
yun bhi kaliyon ka jigar chaak hua hai ki nahin

सोचिए हम से तग़ाफ़ुल भी बजा है कि नहीं
कि यही मक़्सद-ए-अर्बाब-ए-फ़ना है कि नहीं

ज़ीस्त में लम्हा-ए-अंदोह-जफ़ा है कि नहीं
ऐ मोहब्बत कोई तेरी भी ख़ता है कि नहीं

पस्त कर देते हैं मौजों को उभरने वाले
डूबना ख़ुद न उभरने की सज़ा है कि नहीं

छाँव में फूलों की आँखें तो मिची जाती हैं
कौन देखे ये चमन जाग चुका है कि नहीं

हाँ मिरे इश्क़ ने सोचे थे बड़े हंगामे
तू ने छुप छुप के सहारा भी दिया है कि नहीं

क्या ग़लत इश्क़ को है जुर्म-ए-वफ़ा का इक़रार
हुस्न पर ज़हमत-ए-बेदाद-ओ-जफ़ा है कि नहीं

तुझ को बेदारी-ए-गुलशन की क़सम है कि बहार
ज़ेहन-ए-इंसाँ भी कहीं जाग रहा है कि नहीं

सब हैं शाहिद के भुलाने का बहाना कर के
मैं ने हर वक़्त तिरा नाम लिया है कि नहीं

किस को जीने से है फ़ुर्सत जो ये सोचे कि मुझे
कोई काम और भी जीने के सिवा है कि नहीं

शुक्रिया आप के एहसास-ए-जफ़ा का लेकिन
ये करम फ़ित्ना-ए-आग़ाज़-ए-जफ़ा है कि नहीं

है अभी फ़ैसला बाक़ी कि दिलों पर अब तक
आप से कोई सितम हो भी सका है कि नहीं

राज़ फूलों पे बहारों का करम है लेकिन
यूँ भी कलियों का जिगर चाक हुआ है कि नहीं

  - Raaz Yazdani

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raaz Yazdani

As you were reading Shayari by Raaz Yazdani

Similar Writers

our suggestion based on Raaz Yazdani

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari