is dar ki si raahat bhi do aalam mein kahi hai
jeena bhi yahin hai mujhe marna bhi yahin hai
ab waqif-e-mafhoom-e-wafa qalb-e-hazeen hai
ab aap ki bedaad bhi bedaad nahin hai
tum aur meri khana-kharaabi pe tabassum
ummeed se badh kar abhi qadr-e-dil-o-deen hai
ya tere siva husn hi duniya mein nahin tha
ya dekh raha hoon ki jo manzar hai haseen hai
ye zeest hai ya maut samajh mein nahin aata
ab dard hai aur dard ki takleef nahin hai
इस दर की सी राहत भी दो आलम में कहीं है
जीना भी यहीं है मुझे मरना भी यहीं है
अब वाक़िफ़-ए-मफ़्हूम-ए-वफ़ा क़ल्ब-ए-हज़ीं है
अब आप की बेदाद भी बेदाद नहीं है
तुम और मिरी ख़ाना-ख़राबी पे तबस्सुम
उम्मीद से बढ़ कर अभी क़द्र-ए-दिल-ओ-दीं है
या तेरे सिवा हुस्न ही दुनिया में नहीं था
या देख रहा हूँ कि जो मंज़र है हसीं है
ये ज़ीस्त है या मौत समझ में नहीं आता
अब दर्द है और दर्द की तकलीफ़ नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raaz Yazdani
our suggestion based on Raaz Yazdani
As you were reading Gham Shayari Shayari