hai khushi magar phir bhi ab khushi nahin hoti
aur phir udaasi bhi kam meri nahin hoti
ek to mere yah dukh kam nahin hue mujhse
aur mujhse ab yaaron khudkushi nahin hoti
ik sukoon hai andar bas udaas rahne mein
roz roz hansna bhi zindagi nahin hoti
isliye hoon farmaaish main udaas logon kii
sabne dekha hai mujhse dillagi nahin hoti
is tarah mohabbat hai in ujaalon se mujhko
bas kabhi kabhi mujhmein raushni nahin hoti
khoon tak nahin rehta dost jism ke andar
dil ke toot jaane se shaayari nahin hoti
है ख़ुशी मगर फिर भी अब ख़ुशी नहीं होती
और फिर उदासी भी कम मिरी नहीं होती
एक तो मिरे यह दुख कम नहीं हुए मुझसे
और मुझसे अब यारों ख़ुदकुशी नहीं होती
इक सुकून है अन्दर बस उदास रहने में
रोज़ रोज़ हँसना भी ज़िंदगी नहीं होती
इसलिए हूँ फ़रमाइश मैं उदास लोगों की
सबने देखा है मुझसे दिल्लगी नहीं होती
इस तरह मोहब्बत है इन उजालों से मुझको
बस कभी कभी मुझमें रौशनी नहीं होती
ख़ून तक नहीं रहता दोस्त जिस्म के अंदर
दिल के टूट जाने से शाइरी नहीं होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Mood off Shayari Shayari