kisi ko meri ab zaroorat nahin hai
mujhe bhi kisi se shikaayat nahin hai
rulaaya gaya hai mujhe dost itna
abhi ishq karne ki himmat nahin hai
kahaan dil dikhaaun mujhe tum batao
zara bhi mere dil ko raahat nahin hai
mujhe dekh kar kyun sabhi ro rahe hain
abhi marne jaisi to haalat nahin hai
mere she'r ko vo samajhta nahin jo
mere dard se jisko nisbat nahin hai
use dekh kar din guzarta hai mera
jise dekhne ki bhi hasrat nahin hai
abhi zakham ki parvarish kar rahe hain
abhi aane jaane ki furqat nahin hai
kabhi thi mujhe bhi mohabbat kisi se
mujhe ab kisi se mohabbat nahin hai
किसी को मिरी अब ज़रूरत नहीं है
मुझे भी किसी से शिकायत नहीं है
रुलाया गया है मुझे दोस्त इतना
अभी इश्क़ करने की हिम्मत नहीं है
कहाँ दिल दिखाऊँ मुझे तुम बताओ
ज़रा भी मिरे दिल को राहत नहीं है
मुझे देख कर क्यों सभी रो रहे हैं
अभी मरने जैसी तो हालत नहीं है
मिरे शे'र को वो समझता नहीं जो
मिरे दर्द से जिसको निस्बत नहीं है
उसे देख कर दिन गुजरता है मेरा
जिसे देखने की भी हसरत नहीं है
अभी ज़ख़्म की परवरिश कर रहे हैं
अभी आने जाने की फ़ुर्सत नहीं है
कभी थी मुझे भी मोहब्बत किसी से
मुझे अब किसी से मोहब्बत नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Dard Shayari Shayari