ek pal aur jeene ki chaahat nahin
ab kisi se bhi koi shikaayat nahin
zindagi tu bata kya khata hai meri
kyun mujhe ek pal ki bhi raahat nahin
ai khuda tune mujhko banaya hi kyun
is jahaan ko meri jab zaroorat nahin
main khada hoon zameeron ke bazaar mein
aadmi ki yahan koi qeemat nahin
kaudiyon mein hunar bech aaya hoon main
sirf fan zindagi ki zaroorat nahin
khud ki nazaron mein itna gira hoon ki ab
khud se nazrein milaane ki himmat nahin
umr bhar ki thakan ka ye anjaam hai
ik qadam aur chalne ki taqat nahin
एक पल और जीने की चाहत नहीं
अब किसी से भी कोई शिकायत नहीं
ज़िंदगी तू बता क्या ख़ता है मिरी
क्यों मुझे एक पल की भी राहत नहीं
ऐ ख़ुदा तूने मुझको बनाया ही क्यों
इस जहाँ को मिरी जब ज़रूरत नहीं
मैं खड़ा हूँ ज़मीरों के बाज़ार में
आदमी की यहाँ कोई क़ीमत नहीं
कौड़ियों में हुनर बेच आया हूँ मैं
सिर्फ़ फ़न ज़िंदगी की ज़रूरत नहीं
खु़द की नज़रों में इतना गिरा हूँ कि अब
ख़ुद से नज़रें मिलाने की हिम्मत नहीं
उम्र भर की थकन का ये अंजाम है
इक क़दम और चलने की ताक़त नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Kaushik
our suggestion based on Sagar Kaushik
As you were reading Aahat Shayari Shayari