ik tu hi sahaara hai is ghor andhere mein
hai waqt abhi kaafi is raat ke dhalne mein
kuchh raaz bataaunga ashaar sunaate mein
bas chaai bana loon main kuchh baat banaate mein
mushkil mein phansa hoon main mujhko bhi sahaara do
mujhko bhi chhupa lo naa tum apne hi seene mein
ham saath chalenge ghar hai raat bahut gahri
tum dar na kahin jaao is raat ke saaye mein
main shaam ko aaya tha ghar par na mile the tum
main laut gaya waapas apne hi gharaane mein
duniya se pare ho kar apnon se juda ho kar
salmaan to jaane kyun rehta hai akela mein
इक तू ही सहारा है इस घोर अँधेरे में
है वक़्त अभी काफ़ी इस रात के ढलने में
कुछ राज़ बताऊँगा अशआर सुनाते में
बस चाय बना लूँ मैं कुछ बात बनाते में
मुश्किल में फँसा हूँ मैं मुझको भी सहारा दो
मुझको भी छिपा लो ना तुम अपने ही सीने में
हम साथ चलेंगे घर है रात बहुत गहरी
तुम डर न कहीं जाओ इस रात के साए में
मैं शाम को आया था घर पर न मिले थे तुम
मैं लौट गया वापस अपने ही घराने में
दुनिया से परे हो कर अपनों से जुदा हो कर
'सलमान' तो जाने क्यूँ रहता है अकेले में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by salman khan "samar"
our suggestion based on salman khan "samar"
As you were reading Alone Shayari Shayari