bujhe charaagh jalane mein der lagti hai
naseeb apna banaane mein der lagti hai
watan se door musaafir chale to jaate hain
watan ko laut ke aane mein der lagti hai
ta'alluqaat to ik pal mein toot jaate hain
kisi ko dil se bhulaane mein der lagti hai
bikhar to jaate hain pal-bhar mein dil ke sab tukde
magar ye tukde uthaane mein der lagti hai
ye un ki yaad ki khushboo bhi kaisi hai khushboo
chali to aati hai jaane mein der lagti hai
vo zid bhi saath mein laate hain jaane jaane ki
ye aur baat ki aane mein der lagti hai
ye ghonsle hain parindon ke un ko mat todo
unhen dobara banaane mein der lagti hai
vo daur-e-ishq ki rangeen haseen yaadon ke
nuqoosh dil se mitaane mein der lagti hai
ye daag-e-tark-e-maraasim na deejie ham ko
jigar ke daagh mitaane mein der lagti hai
khabar bhi hai tujhe dil ko ujaadne waale
dilon ki basti basaane mein der lagti hai
tumhein qasam hai bujhaao na pyaar ki shamaein
unhen bujha ke jalane mein der lagti hai
bhulaaun kaise achaanak kisi ka kho jaana
ye haadsaat bhulaane mein der lagti hai
zara si baat pe ham se jo rooth jaate hain
unhen to soz manaane mein der lagti hai
बुझे चराग़ जलाने में देर लगती है
नसीब अपना बनाने में देर लगती है
वतन से दूर मुसाफ़िर चले तो जाते हैं
वतन को लौट के आने में देर लगती है
तअ'ल्लुक़ात तो इक पल में टूट जाते हैं
किसी को दिल से भुलाने में देर लगती है
बिखर तो जाते हैं पल-भर में दिल के सब टुकड़े
मगर ये टुकड़े उठाने में देर लगती है
ये उन की याद की ख़ुशबू भी कैसी है ख़ुशबू
चली तो आती है जाने में देर लगती है
वो ज़िद भी साथ में लाते हैं जाने जाने की
ये और बात कि आने में देर लगती है
ये घोंसले हैं परिंदों के उन को मत तोड़ो
उन्हें दोबारा बनाने में देर लगती है
वो दौर-ए-इश्क़ की रंगीं हसीन यादों के
नुक़ूश दिल से मिटाने में देर लगती है
ये दाग़-ए-तर्क-ए-मरासिम न दीजिए हम को
जिगर के दाग़ मिटाने में देर लगती है
ख़बर भी है तुझे दिल को उजाड़ने वाले
दिलों की बस्ती बसाने में देर लगती है
तुम्हें क़सम है बुझाओ न प्यार की शमएँ
उन्हें बुझा के जलाने में देर लगती है
भुलाऊँ कैसे अचानक किसी का खो जाना
ये हादसात भुलाने में देर लगती है
ज़रा सी बात पे हम से जो रूठ जाते हैं
उन्हें तो 'सोज़' मनाने में देर लगती है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Sardar Soz
As you were reading Relationship Shayari Shayari