baarishen us ke badan par
zor se girti raheen
aur vo bheegi qaba mein
der tak chalti rahi
surkh tha us ka badan
aur surkh thi us ki qaba
surkh thi us dam hawa
baarishon mein junglon ke darmiyaan chalte ho
bheegte chehre ko ya us ki qaba ko dekhte
baans ke gunjaan raston pe kabhi badhte hue
us ki bheegi aankh mein khulti dhanak takte hue
aur kabhi peepal ke gehre surkh saayo ke tale
us ke bheege hont pe kuchh titliyan rakhte hue
baarishon mein bheegte lamhe use bhi yaad hain
yaad hain us ko bhi honton pe saji kuchh titliyan
yaad hai mujh ko bhi us ki aankh mein khulti dhanak
बारिशें उस के बदन पर
ज़ोर से गिरती रहीं
और वो भीगी क़बा में
देर तक चलती रही
सुर्ख़ था उस का बदन
और सुर्ख़ थी उस की क़बा
सुर्ख़ थी उस दम हवा
बारिशों में जंगलों के दरमियाँ चलते हो
भीगते चेहरे को या उस की क़बा को देखते
बाँस के गुंजान रस्तों पे कभी बढ़ते हुए
उस की भीगी आँख में खुलती धनक तकते हुए
और कभी पीपल के गहरे सुर्ख़ सायों के तले
उस के भीगे होंट पे कुछ तितलियाँ रखते हुए
बारिशों में भीगते लम्हे उसे भी याद हैं
याद हैं उस को भी होंटों पे सजी कुछ तितलियाँ
याद है मुझ को भी उस की आँख में खुलती धनक
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Tabassum Kashmiri
As you were reading Muskurahat Shayari Shayari