yahan ab ek taara | यहाँ अब एक तारा

  - Tabassum Kashmiri

yahan ab ek taara
zard taara bhi nahin baaki
yahan ab aasmaan ke
cheethdon ki fadfadaahat bhi nahin baaki
yahan par saare suraj
taare suraj
tairte aflaak se gir kar
kisi paataal mein gum hain
yahan ab saare sayyaaron ki gardish
ruk gai hai
yahan ab raushni hai
aur na aawazon ki larzish hai
na jismoon mein hi harkat hai
yahan par ab faqat
ik khaamoshi ki fadfadaahat hai

यहाँ अब एक तारा
ज़र्द तारा भी नहीं बाक़ी
यहाँ अब आसमाँ के
चीथडों की फड़फड़ाहट भी नहीं बाक़ी
यहाँ पर सारे सूरज
तारे सूरज
तैरते अफ़्लाक से गिर कर
किसी पाताल में गुम हैं
यहाँ अब सारे सय्यारों की गर्दिश
रुक गई है
यहाँ अब रौशनी है
और न आवाज़ों की लर्ज़िश है
न जिस्मों में ही हरकत है
यहाँ पर अब फ़क़त
इक ख़ामुशी की फड़फड़ाहट है

  - Tabassum Kashmiri

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari