udaasiyon ki rut bhi kya ajeeb hai
koi na mere paas hai
tum to mere paas ho
magar kahaan
hawa ki khushbuon mein
sabz raushni ki dhool mein
dil mein bajti taaliyon ke paas
udaasiyon ke zard baal jal uthe the us ghadi
tumhaari sard yaad ke safed phool khil uthe the jis ghadi
nazar mein ik safed barf gir rahi thi door tak
surkh belen khil uthi theen yaad ki chhato ke paas
udaasiyon ki rut bhi kya ajeeb hai
yaad ki chhato pe surkh phool hain
door door sabz raushni ki dhool hai
aur barf gir rahi hai khaamoshi ke sard junglon ke paas
उदासियों की रुत भी क्या अजीब है
कोई न मेरे पास है
तुम तो मेरे पास हो
मगर कहाँ
हवा की ख़ुशबुओं में
सब्ज़ रौशनी की धूल में
दिल में बजती तालियों के पास
उदासियों के ज़र्द बाल जल उठे थे उस घड़ी
तुम्हारी सर्द याद के सफ़ेद फूल खिल उठे थे जिस घड़ी
नज़र में इक सफ़ेद बर्फ़ गिर रही थी दूर तक
सुर्ख़ बेलें खिल उठी थीं याद की छतों के पास
उदासियों की रुत भी क्या अजीब है
याद की छतों पे सुर्ख़ फूल हैं
दूर दूर सब्ज़ रौशनी की धूल है
और बर्फ़ गिर रही है ख़ामुशी के सर्द जंगलों के पास
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Tabassum Kashmiri
As you were reading Phool Shayari Shayari