ik tira hijr daaimi hai mujhe
warna har cheez aarzi hai mujhe
ek saaya mere ta'aqub mein
ek awaaz dhundti hai mujhe
meri aankhon pe do muqaddas haath
ye andhera bhi raushni hai mujhe
main sukhun mein hoon us jagah ki jahaan
saans lena bhi shaayri hai mujhe
in parindon se bolna seekha
ped se khaamoshi mili hai mujhe
main use kab ka bhool-bhaal chuka
zindagi hai ki ro rahi hai mujhe
main ki kaaghaz ki ek kashti hoon
pehli baarish hi aakhiri hai mujhe
इक तिरा हिज्र दाइमी है मुझे
वर्ना हर चीज़ आरज़ी है मुझे
एक साया मिरे तआक़ुब में
एक आवाज़ ढूँडती है मुझे
मेरी आँखों पे दो मुक़द्दस हाथ
ये अंधेरा भी रौशनी है मुझे
मैं सुख़न में हूँ उस जगह कि जहाँ
साँस लेना भी शाइरी है मुझे
इन परिंदों से बोलना सीखा
पेड़ से ख़ामुशी मिली है मुझे
मैं उसे कब का भूल-भाल चुका
ज़िंदगी है कि रो रही है मुझे
मैं कि काग़ज़ की एक कश्ती हूँ
पहली बारिश ही आख़िरी है मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahzeeb Hafi
our suggestion based on Tahzeeb Hafi
As you were reading Raushni Shayari Shayari