gareebon ko ameeri ke faqat ehsaas ne maara | ग़रीबों को अमीरी के फ़क़त एहसास ने मारा

  - Salma Malik

gareebon ko ameeri ke faqat ehsaas ne maara
mare kuchh bhookh se hain to kisi ko pyaas ne maara

faqat ik khud kushi hi baad mein ki hai kisaano ne
bahut pehle unhen sarkaar ki di yaas ne maara

lagaate ho bhale ilzaam tum ab is zamaane par
tumhein lekin tumhaare hi dil-e-hassaas ne maara

gaya jab haath khaali the sikandar के,पता hai na
zamaana fat'h kar luun मैं,उसे is aas ne maara

likha apna kiya khaariz kai sau baar hai salma
hamein phir kyun hamaari hi qalam qirtaas ne maara

ग़रीबों को अमीरी के फ़क़त एहसास ने मारा
मरे कुछ भूख से हैं तो किसी को प्यास ने मारा

फ़क़त इक ख़ुद कुशी ही बाद में की है किसानों ने
बहुत पहले उन्हें सरकार की दी यास ने मारा

लगाते हो भले इल्ज़ाम तुम अब इस ज़माने पर
तुम्हें लेकिन तुम्हारे ही दिल-ए-हस्सास ने मारा

गया जब हाथ ख़ाली थे सिकन्दर के,पता है ना
ज़माना फ़तह कर लूँ मैं,उसे इस आस ने मारा

लिखा अपना किया ख़ारिज कई सौ बार है 'सलमा'
हमें फिर क्यों हमारी ही क़लम क़िर्तास ने मारा

  - Salma Malik

Aasra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Salma Malik

As you were reading Shayari by Salma Malik

Similar Writers

our suggestion based on Salma Malik

Similar Moods

As you were reading Aasra Shayari Shayari