kai baar haari kai baar khud se ladi main
mujhe ab lagoo hoon mere hauslon se badi main
mere bin tu आधा,तिरे bin adhuri khadi main
meri tu kahaani tiri hoon zaroori kadi main
milen raaston mein faqat khaar hi hain sabhi ko
yahi sochkar to sabhi mushkilon se ladi main
nahin waqt rukta kisi ke liye hai magar kyun
phiroon waqt apna liye haath mein har ghadi main
karun kyun shikaayat kabhi bhi kisi se main salma
faqat zindagi ke liye zindagi se ladi main
कई बार हारी कई बार ख़ुद से लड़ी मैं
मुझे अब लगूँ हूँ मिरे हौसलों से बड़ी मैं
मिरे बिन तू आधा,तिरे बिन अधूरी खड़ी मैं
मिरी तू कहानी तिरी हूँ ज़रूरी कड़ी मैं
मिलें रास्तों में फ़क़त ख़ार ही हैं सभी को
यही सोचकर तो सभी मुश्किलों से लड़ी मैं
नहीं वक़्त रुकता किसी के लिए है मगर क्यों
फिरूँ वक़्त अपना लिए हाथ में हर घड़ी मैं
करुँ क्यों शिकायत कभी भी किसी से मैं 'सलमा'
फ़क़त ज़िन्दगी के लिए ज़िन्दगी से लड़ी मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salma Malik
our suggestion based on Salma Malik
As you were reading Life Shayari Shayari