band hain dil ke dariche raushni maadum hai | बंद हैं दिल के दरीचे रौशनी मादूम है

  - Urooj Zaidi Badayuni

band hain dil ke dariche raushni maadum hai
ab jo apna hashr hona hai hamein ma'aloom hai

hasb-e-nairang-e-jahaan dil shaad ya maghoom hai
aadmi jazbaat ka haakim nahin mahkoom hai

ab takalluf bartaraf ye aap ko ma'aloom hai
kyun mera khwaab-e-wafa ta'beer se mahroom hai

husn khud tadpa kiya hai mujh ko tadpaane ke ba'ad
sochna padta hai vo zalim hai ya mazloom hai

khwaab aakhir khwaab hai is khwaab ka kya e'tibaar
jannat-e-nazzaara goya jannat-e-maohoom hai

haaye ye tarafaa maal-e-aarzoo-e-subh-e-nau
jis taraf nazrein uthaata hoon fazaa masmoom hai

mere kirdaar-e-wafa ki aaina-daari b-khair
kyun zabaan-e-dost par al-shaaz-o-kal-maadoom hai

dekhne ki cheez hai ye sehar-e-andaaz-e-nazar
un ka har mubham ishaara haamil-e-mafhoom hai

khaar bhi na-mutmain hain phool bhi na-mutmain
baagbaan ke is nizaam-e-gulistaan ki dhoom hai

ab use maahol jis qaaleb mein chahe dhaal de
fitratan to aadmi ik paikar-e-mafhoom hai

jo bhari mehfil mein nazaron ki hui hai guftugoo
husn ko ma'aloom hai ya ishq ko ma'aloom hai

kitni kaif-aavar hai in ki shirkat-e-gham bhi urooj
maatam-e-dil ki jagah jashn-e-dil-e-marhoom hai

बंद हैं दिल के दरीचे रौशनी मादूम है
अब जो अपना हश्र होना है हमें मा'लूम है

हस्ब-ए-नैरंग-ए-जहाँ दिल शाद या मग़्मूम है
आदमी जज़्बात का हाकिम नहीं महकूम है

अब तकल्लुफ़ बरतरफ़ ये आप को मा'लूम है
क्यूँ मिरा ख़्वाब-ए-वफ़ा ता'बीर से महरूम है

हुस्न ख़ुद तड़पा किया है मुझ को तड़पाने के बा'द
सोचना पड़ता है वो ज़ालिम है या मज़लूम है

ख़्वाब आख़िर ख़्वाब है इस ख़्वाब का क्या ए'तिबार
जन्नत-ए-नज़्ज़ारा गोया जन्नत-ए-मौहूम है

हाए ये तरफ़ा मआल-ए-आरज़ू-ए-सुब्ह-ए-नौ
जिस तरफ़ नज़रें उठाता हूँ फ़ज़ा मस्मूम है

मेरे किरदार-ए-वफ़ा की आईना-दारी ब-ख़ैर
क्यूँ ज़बान-ए-दोस्त पर अल-शाज़-ओ-कल-मादूम है

देखने की चीज़ है ये सेहर-ए-अंदाज़-ए-नज़र
उन का हर मुबहम इशारा हामिल-ए-मफ़्हूम है

ख़ार भी ना-मुतमइन हैं फूल भी ना-मुतमइन
बाग़बाँ के इस निज़ाम-ए-गुलिस्ताँ की धूम है

अब उसे माहौल जिस क़ालिब में चाहे ढाल दे
फ़ितरतन तो आदमी इक पैकर-ए-मफ़्हूम है

जो भरी महफ़िल में नज़रों की हुई है गुफ़्तुगू
हुस्न को मा'लूम है या इश्क़ को मा'लूम है

कितनी कैफ़-आवर है इन की शिरकत-ए-ग़म भी 'उरूज'
मातम-ए-दिल की जगह जश्न-ए-दिल-ए-मरहूम है

  - Urooj Zaidi Badayuni

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Urooj Zaidi Badayuni

As you were reading Shayari by Urooj Zaidi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Urooj Zaidi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari