ab kisi kii nahin zaroorat hai
jaan leva ye to muhabbat hai
bhoolna chahta hoon main usko
bas yahi yaar meri hasrat hai
raat mein khwaab uske aate hain
yaar ye to badi museebat hai
khoobsurat bala kii hai yaaro
haan nahin uski achhi seerat hai
ab kahaan jaake kis se takraaye
ab to ye uski apni qismat hai
main kabhi khud se poochta hoon ye
kya use sochne kii fursat hai
ye zamaana nahin mera dushman
ladki se ik mujhe shikaayat hai
pehle usse bahut muhabbat thi
ab bahut ziyaada usse nafrat hai
apne vaade se phir mukar jaana
khaandaani ye uski aadat hai
ik muhabbat mein tadpe ho aise
kya dobaara waseem himmat hai
अब किसी की नहीं ज़रूरत है
जान लेवा ये तो मुहब्बत है
भूलना चाहता हूँ मैं उसको
बस यही यार मेरी हसरत है
रात में ख़्वाब उसके आते हैं
यार ये तो बड़ी मुसीबत है
ख़ूबसूरत बला की है यारो
हाँ नहीं उसकी अच्छी सीरत है
अब कहाँ जाके किस से टकराए
अब तो ये उसकी अपनी क़िस्मत है
मैं कभी ख़ुद से पूछता हूँ ये
क्या उसे सोचने की फ़ुर्सत है
ये ज़माना नहीं मिरा दुश्मन
लड़की से इक मुझे शिकायत है
पहले उससे बहुत मुहब्बत थी
अब बहुत ज़्यादा उससे नफ़रत है
अपने वादे से फिर मुकर जाना
ख़ानदानी ये उसकी आदत है
इक मुहब्बत में तड़पे हो ऐसे
क्या दुबारा वसीम हिम्मत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Mehboob Shayari Shayari