gair matlab mein main to hansta hoon | ग़ैर मतलब में मैं तो हँसता हूँ - Vaseem 'Haidar'

gair matlab mein main to hansta hoon
jaane kyun main yahan pe baitha hoon

barson beete nahin vo aaya hai
ek ik roz din main ginata hoon

koi aaye mujhe le jaaye ab
ye pata to chale main kis ka hoon

dekho naaraz ho ke mat baitho
khush raho main yahan se jaata hoon

mujhko tum zaaya mat karo jaanaan
main badi mushkilon se milta hoon

ye muhabbat ka hai bharam varna
main sambhaale nahin sambhalta hoon

ग़ैर मतलब में मैं तो हँसता हूँ
जाने क्यों मैं यहाँ पे बैठा हूँ

बरसों बीते नहीं वो आया है
एक इक रोज़ दिन मैं गिनता हूँ

कोई आए मुझे ले जाए अब
ये पता तो चले मैं किस का हूँ

देखो नाराज़ हो के मत बैठो
ख़ुश रहो मैं यहाँ से जाता हूँ

मुझको तुम ज़ाया मत करो जानाँ
मैं बड़ी मुश्किलों से मिलता हूँ

ये मुहब्बत का है भरम वरना
मैं सँभाले नहीं सँभलता हूँ

- Vaseem 'Haidar'
0 Likes

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari