udhar zor bhi mera chalta nahin hai | उधर ज़ोर भी मेरा चलता नहीं है

  - Vaseem 'Haidar'

udhar zor bhi mera chalta nahin hai
idhar bhi kahin dam nikalta nahin hai

tasavvur mein bhi jaake dekha hai maine
kahin bhi mera yaar milta nahin hai

zamaane ko bhi zakhm maine dikhaaya
magar koii bhi zakhm silta nahin hai

manaane kii har ek koshish kii maine
magar uska vo dil pighlata nahin hai

उधर ज़ोर भी मेरा चलता नहीं है
इधर भी कहीं दम निकलता नहीं है

तसव्वुर में भी जाके देखा है मैंने
कहीं भी मिरा यार मिलता नहीं है

ज़माने को भी ज़ख़्म मैंने दिखाया
मगर कोई भी ज़ख़्म सिलता नहीं है

मनाने की हर एक कोशिश की मैंने
मगर उसका वो दिल पिघलता नहीं है

  - Vaseem 'Haidar'

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari