unko sab zakham to dikhaaye the | उनको सब ज़ख़्म तो दिखाए थे

  - Vaseem 'Haidar'

unko sab zakham to dikhaaye the
mere ghar pehli baar aaye the

khwaab mitti mein sab mila dale
khwaab ham ne bahut sajaaye the

vo mere haath se gaya kaise
usne ta'aweez kya karaaye the

ye muhabbat bahut buri hai yaa
ham ko kuchh log ye bataaye the

ye jawaani ka qissa hai yaaron
ik muhabbat mein dhoke khaaye the

karke himmat gulaab laaya tha
paise abboo ke vo churaaye the

khwaab ik yaad hai bahut zyaada
mujhko pahluu mein vo sulaaye the

jaane kab ishq ho gaya unse
raat ik paas vo bithaaye the

kaise bhi unko ishq ho ham se
ham ne apne hunar ginayae the

ham abhi tak waseem bhule nain
usko ham god mein uthaaye the

उनको सब ज़ख़्म तो दिखाए थे
मेरे घर पहली बार आए थे

ख़्वाब मिट्टी में सब मिला डाले
ख़्वाब हम ने बहुत सजाए थे

वो मिरे हाथ से गया कैसे
उसने ता'वीज़ क्या कराए थे

ये मुहब्बत बहुत बुरी है याँ
हम को कुछ लोग ये बताए थे

ये जवानी का क़िस्सा है यारों
इक मुहब्बत में धोखे खाए थे

करके हिम्मत गुलाब लाया था
पैसे अब्बू के वो चुराए थे

ख़्वाब इक याद है बहुत ज़्यादा
मुझको पहलू में वो सुलाए थे

जाने कब इश्क़ हो गया उनसे
रात इक पास वो बिठाए थे

कैसे भी उनको इश्क़ हो हम से
हम ने अपने हुनर गिनाए थे

हम अभी तक वसीम भूले नइँ
उसको हम गोद में उठाए थे

  - Vaseem 'Haidar'

Attitude Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Attitude Shayari Shayari