husn ko be-naqaab dekha hai
dil ka aalam kharab dekha hai
aaye vo mere ghar b-sad tamkeen
main ne shaayad ye khwaab dekha hai
mast kar de jo saare aalam ko
vo kisi ka shabaab dekha hai
main ne akshar gunaahgaaron par
karam-e-be-hisaab dekha hai
chhupte hain aur chhup nahin sakte
aisa rangeen hijaab dekha hai
jab hua imtihaan-e-husn-o-ishq
husn ko la-jawaab dekha hai
kyun ho jannat ki aarzoo ham ne
koocha-e-boo-turaab dekha hai
हुस्न को बे-नक़ाब देखा है
दिल का आलम ख़राब देखा है
आए वो मेरे घर ब-सद तम्कीं
मैं ने शायद ये ख़्वाब देखा है
मस्त कर दे जो सारे आलम को
वो किसी का शबाब देखा है
मैं ने अक्सर गुनाहगारों पर
करम-ए-बे-हिसाब देखा है
छुपते हैं और छुप नहीं सकते
ऐसा रंगीं हिजाब देखा है
जब हुआ इम्तिहान-ए-हुस्न-ओ-इश्क़
हुस्न को ला-जवाब देखा है
क्यूँ हो जन्नत की आरज़ू हम ने
कूचा-ए-बू-तुराब देखा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wafa Niyazi
our suggestion based on Wafa Niyazi
As you were reading Raaz Shayari Shayari