ham ko waiz na baagh-e-iram chahiye
ek un ki nigah-e-karam chahiye
dehr ho ya ki kaaba ho but-khaana ho
kuchh bhi ho mujh ko apna sanam chahiye
dil hamesha hi jis mein uljhta rahe
un ki zulfon ke vo pech-o-kham chahiye
jis mein apne sanam ka tasavvur na ho
vo khushi chahiye aur na gham chahiye
un ki bakshish ka koi thikaana nahin
daaman-e-maasiyat apna nam chahiye
chashm-e-maygoon se jis ki main sarshaar hoon
haan mujhe vo hi peer-e-haram chahiye
हम को वाइज़ न बाग़-ए-इरम चाहिए
एक उन की निगाह-ए-करम चाहिए
दहर हो या कि काबा हो बुत-ख़ाना हो
कुछ भी हो मुझ को अपना सनम चाहिए
दिल हमेशा ही जिस में उलझता रहे
उन की ज़ुल्फ़ों के वो पेच-ओ-ख़म चाहिए
जिस में अपने सनम का तसव्वुर न हो
वो ख़ुशी चाहिए और न ग़म चाहिए
उन की बख़्शिश का कोई ठिकाना नहीं
दामन-ए-मासियत अपना नम चाहिए
चश्म-ए-मयगूँ से जिस की मैं सरशार हूँ
हाँ मुझे वो ही पीर-ए-हरम चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wafa Niyazi
our suggestion based on Wafa Niyazi
As you were reading Fantasy Shayari Shayari