zakhm-e-dil ka ho mudaava mujhe manzoor nahin
zeest ka meri sahaara hai ye naasoor nahin
maangata hoon main tujhe tujh se naya hai ye sawaal
baat radd karna gada ki tera dastoor nahin
aap aa jaayen dam-e-naz'a mujhe lene ko
aap ki shaan-e-karam se to ye kuchh door nahin
aish ke sab hi hain samaan mayassar lekin
mera saaqi nahin vo baada-e-makhmoor nahin
aarzoo deed ki arse se dobara hai mujhe
ek hi baar mein jal jaaye ye vo toor nahin
aap ka jaur-o-sitam aur ziyaada ho sada
ho ifaqa ye wafa ko meri manzoor nahin
ज़ख़्म-ए-दिल का हो मुदावा मुझे मंज़ूर नहीं
ज़ीस्त का मेरी सहारा है ये नासूर नहीं
माँगता हूँ मैं तुझे तुझ से नया है ये सवाल
बात रद्द करना गदा की तेरा दस्तूर नहीं
आप आ जाएँ दम-ए-नज़अ' मुझे लेने को
आप की शान-ए-करम से तो ये कुछ दूर नहीं
ऐश के सब ही हैं सामान मयस्सर लेकिन
मेरा साक़ी नहीं वो बादा-ए-मख़्मूर नहीं
आरज़ू दीद की अर्से से दोबारा है मुझे
एक ही बार में जल जाए ये वो तूर नहीं
आप का जौर-ओ-सितम और ज़ियादा हो सदा
हो इफ़ाक़ा ये 'वफ़ा' को मेरी मंज़ूर नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wafa Niyazi
our suggestion based on Wafa Niyazi
As you were reading Masti Shayari Shayari