main aakhir kis ki jaagat jaagta hoon | मैं आख़िर किस की जागत जागता हूँ

  - Waheed Ahmad

main aakhir kis ki jaagat jaagta hoon
papoton mein ye kis paani ka namkeen zaa'ika hai
meri putli mein kis ki raat hai
aur kaarniya mein kaun se yug ka savera hai
ye din bhar kaun
mizgaani kiwaadon ko musalsal kholta aur band karta hai
meri taar-e-nazar par baith kar
aakhir zamaane mein nazar kis ki utarti hai
main aankhon se ye kis manzar ke andar bhaagta hoon
main aakhir kis ki jaagat jaagta hoon
bhala main kis ka sona so raha hoon
ye reg-khwaab par bante bigadte kya nishaan hain
mere andar to jitne qafile chalte hain
saare ajnabi hain
main har ik khwaab mein koi shanaasa dhundhta hoon
ye kaisi auratein hain
jo sar mein ret ka afshaan bhare
mujh ko jakarti hain
jo baad-az-ikhtilaat aahon se cheekh'on se pighal kar
ret ho jaati hain geeli ret mein
ye bacche kis sadi ke hain
jo apne qahqaha-aavar khilone mere haathon mein
thama kar bhag jaate hain
ye kis maabad ke jogi hain
sahifon ki zabaan mein bolte hain
in ke farghul farfarate hain
hawa mein reesh udti hai
ye main kis ki khushi ko hans raha hoon
kis ka rona ro raha hoon
bhala main kis ka sona so raha hoon

main aakhir kis ka jeena jee raha hoon
main sehra ka shajar hoon
jis ki shaakhen ghonslon se jhuk gai hain
kiraye ka makaan hoon
jis ke kamron mein paraaye log rahte hain
faraaz-e-koh par koi puraana ghaar hoon main
hawa se goonjtaa saaya-zaada veeraan khandar hoon
kabhi hoon eistaada aur kabhi mismar hoon main
faseel-e-shehr hon ya saaya-e-deewar hoon main
mere andar se hi koi mujhe batlaaye
main kya hoon
mere khaliyon ke geelay markazon mein band
d-n-a mere maa baap ka hai
jo is ke gird paani hai
vo kis bechain sayyaare ke saagar se utha hai
main kis ko bhogta hoon
ye aakhir kaun mujh mein goonjtaa hai
sansanaata hai
main aakhir kis ka hona ho raha hoon

मैं आख़िर किस की जागत जागता हूँ
पपोटों में ये किस पानी का नमकीं ज़ाइक़ा है
मिरी पुतली में किस की रात है
और कार्निया में कौन से युग का सवेरा है
ये दिन भर कौन
मिज़्गानी किवाड़ों को मुसलसल खोलता और बंद करता है
मिरी तार-ए-नज़र पर बैठ कर
आख़िर ज़माने में नज़र किस की उतरती है
मैं आँखों से ये किस मंज़र के अंदर भागता हूँ
मैं आख़िर किस की जागत जागता हूँ?
भला मैं किस का सोना सो रहा हूँ
ये रेग-ख़्वाब पर बनते बिगड़ते क्या निशाँ हैं
मिरे अंदर तो जितने क़ाफ़िले चलते हैं
सारे अजनबी हैं
मैं हर इक ख़्वाब में कोई शनासा ढूँडता हूँ
ये कैसी औरतें हैं
जो सर में रेत का अफ़्शाँ भरे
मुझ को जकड़ती हैं
जो बाद-अज़-इख़्तिलात आहों से चीख़ों से पिघल कर
रेत हो जाती हैं गीली रेत में!!
ये बच्चे किस सदी के हैं
जो अपने क़हक़हा-आवर खिलौने मेरे हाथों में
थमा कर भाग जाते हैं
ये किस माबद के जोगी हैं
सहीफ़ों की ज़बाँ में बोलते हैं
इन के फ़र्ग़ुल फड़फड़ाते हैं
हवा में रीश उड़ती है
ये मैं किस की ख़ुशी को हँस रहा हूँ
किस का रोना रो रहा हूँ
भला मैं किस का सोना सो रहा हूँ?

मैं आख़िर किस का जीना जी रहा हूँ
मैं सहरा का शजर हूँ
जिस की शाख़ें घोंसलों से झुक गई हैं
किराए का मकाँ हूँ
जिस के कमरों में पराए लोग रहते हैं
फ़राज़-ए-कोह पर कोई पुराना ग़ार हूँ मैं
हवा से गूँजता साया-ज़दा वीराँ खंडर हूँ
कभी हूँ ईस्तादा और कभी मिस्मार हूँ मैं
फ़सील-ए-शहर हों या साया-ए-दीवार हूँ मैं
मिरे अंदर से ही कोई मुझे बतलाए
मैं क्या हूँ?
मिरे ख़लियों के गीले मरकज़ों में बंद
डी-एन-ए मिरे माँ बाप का है
जो इस के गिर्द पानी है
वो किस बेचैन सय्यारे के सागर से उठा है
मैं किस को भोगता हूँ
ये आख़िर कौन मुझ में गूँजता है
सनसनाता है
मैं आख़िर किस का होना हो रहा हूँ

  - Waheed Ahmad

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Ahmad

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari