na jaane | न जाने

  - Wali Alam Shaheen

na jaane
sargoshiyon mein kitni kahaaniyaan an-kahi hain ab tak
barhana deewaar par tange pur-kashish calendar mein
daayere ka nishaan
umr-e-gurez-paa ko davaam ke khwaab de gaya hai
jis mein sulagte sayyaare
gesuon ke ghane khunuk saaye dhoondte hain
gulaab-saanson se
jaise
shaadaabiyon ki takhleeq ho rahi hai
vo jhuk ke phoolon mein apne bheege badan ki khushboo ko baanti hai
chaman se jaati bahaar
ik tokri mein mahfooz ho gai hai

न जाने
सरगोशियों में कितनी कहानियाँ अन-कही हैं अब तक
बरहना दीवार पर टँगे पुर-कशिश कैलेंडर में
दाएरे का निशान
उम्र-ए-गुरेज़-पा को दवाम के ख़्वाब दे गया है
जिस में सुलगते सय्यारे
गेसुओं के घने ख़ुनुक साए ढूँडते हैं
गुलाब-साँसों से
जैसे
शादाबियों की तख़्लीक़ हो रही है
वो झुक के फूलों में अपने भीगे बदन की ख़ुशबू को बाँटती है
चमन से जाती बहार
इक टोकरी में महफ़ूज़ हो गई है

  - Wali Alam Shaheen

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wali Alam Shaheen

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari