gori-chatti yaal ghani si
doodh aisi poshaak badan ki
lambe naazuk maathe par mehndi ka ghaav
udrti-girti khaak sumon ki
mutthi-bhar kar munh par mil kar dil ki pyaas bujhaao
sadiyon ke dukh jhelte jaao
rahe safar mein
hare mehakte kheton mein khush-baash phire
apne peeche aati quwwat ke nashe mein khoya
raaste ke har bhari patthar ko thokar se tode
aage hi aage ko daude
aaj yahan tak aa pahuncha hai
par vo kal ab door nahin hai
jab us ke qadmon ke bhaale
qaryaa qasba shehar sabhi ko
pal-bhar mein mismar karenge
har shay ko taaraaj karenge
is marqad se
us marqad tak
raaj karenge
aur phir vo din bhi aayega
jab ik tez sunhara nashtar
shah-e-rag mein is ki utarega
khoon ka favvaara chhootega
aur vo quwwat
rengti aur funkarti quwwat
mauj mein aa kar naach uthegi
khushi se paagal ho jaayegi
गोरी-चट्टी याल घनी सी
दूध ऐसी पोशाक बदन की
लाम्बे नाज़ुक माथे पर मेहंदी का घाव
उड़ती-गिरती ख़ाक सुमों की
मुट्ठी-भर कर मुँह पर मिल कर दिल की प्यास बुझाओ
सदियों के दुख झेलते जाओ
रहे सफ़र में
हरे महकते खेतों में ख़ुश-बाश फिरे
अपने पीछे आती क़ुव्वत के नशे में खोया
रस्ते के हर भारी पत्थर को ठोकर से तोड़े
आगे ही आगे को दौड़े
आज यहाँ तक आ पहुँचा है
पर वो कल अब दूर नहीं है
जब उस के क़दमों के भाले
क़र्या क़स्बा शहर सभी को
पल-भर में मिस्मार करेंगे
हर शय को ताराज करेंगे
इस मरक़द से
उस मरक़द तक
राज करेंगे
और फिर वो दिन भी आएगा
जब इक तेज़ सुनहरा नश्तर
शह-ए-रग में इस की उतरेगा
ख़ून का फ़व्वारा छूटेगा
और वो क़ुव्वत
रेंगती और फुँकारती क़ुव्वत
मौज में आ कर नाच उठेगी
ख़ुशी से पागल हो जाएगी
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Wazir Agha
As you were reading Safar Shayari Shayari