aah-e-beemaar kaargar na hui | आह-ए-बीमार कारगर न हुई

  - Yagana Changezi

aah-e-beemaar kaargar na hui
charkh kaanpa magar sehar na hui

subh-e-mahshar hui shab-e-taareek
soorat-e-yaar jalva-gar na hui

shab-e-ummeed kat gai lekin
zindagi apni mukhtasar na hui

door se aaj un ko dekh liya
dil ko taskin hui magar na hui

aankhon aankhon mein le liya wa'da
kaanon-kaan ek ko khabar na hui

uf ri chashm-e-itaab uf re jalaal
barq-e-sozaan hui nazar na hui

fikr-e-anjaam-o-hasrat-e-aaghaaz
do-ghadi chain se basar na hui

khulne waala nahin dar-e-tauba
fikr-e-anjaam waqt par na hui

aisa rona bhi koi rona hai
aasteen aansuon se tar na hui

hat ke baaleen se log rote hain
jaise beemaar ko khabar na hui

loot gaya saara kaarwaan adam
ek ko ek ki khabar na hui

neem-jaan chhod kar chala qaateel
nigaah-e-'yaas kaargar na hui

आह-ए-बीमार कारगर न हुई
चर्ख़ काँपा मगर सहर न हुई

सुब्ह-ए-महशर हुई शब-ए-तारीक
सूरत-ए-यार जल्वा-गर न हुई

शब-ए-उम्मीद कट गई लेकिन
ज़िंदगी अपनी मुख़्तसर न हुई

दूर से आज उन को देख लिया
दिल को तस्कीं हुई मगर न हुई

आँखों आँखों में ले लिया वा'दा
कानों-कान एक को ख़बर न हुई

उफ़ री चश्म-ए-इताब उफ़ रे जलाल
बर्क़-ए-सोज़ाँ हुई नज़र न हुई

फ़िक्र-ए-अंजाम-ओ-हसरत-ए-आग़ाज़
दो-घड़ी चैन से बसर न हुई

खुलने वाला नहीं दर-ए-तौबा
फ़िक्र-ए-अंजाम वक़्त पर न हुई

ऐसा रोना भी कोई रोना है
आस्तीन आँसुओं से तर न हुई

हट के बालीं से लोग रोते हैं
जैसे बीमार को ख़बर न हुई

लुट गया सारा कारवाँ अदम
एक को एक की ख़बर न हुई

नीम-जाँ छोड़ कर चला क़ातिल
निगह-ए-'यास' कारगर न हुई

  - Yagana Changezi

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yagana Changezi

As you were reading Shayari by Yagana Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Yagana Changezi

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari