mujhe dil ki khata par yaas sharmana nahin aata
paraaya jurm apne naam likhwaana nahin aata
mujhe ai nakhuda aakhir kisi ko munh dikhaana hai
bahaana kar ke tanhaa paar utar jaana nahin aata
museebat ka pahaad aakhir kisi din kat hi jaayega
mujhe sar maar kar teshe se mar jaana nahin aata
dil-e-be-hausla hai ik zara si thes ka mehmaan
vo aansu kya piyega jis ko gham khaana nahin aata
saraapa raaz hoon main kya bataaun kaun hoon kya hoon
samajhta hoon magar duniya ko samjhaana nahin aata
मुझे दिल की ख़ता पर 'यास' शरमाना नहीं आता
पराया जुर्म अपने नाम लिखवाना नहीं आता
मुझे ऐ नाख़ुदा आख़िर किसी को मुँह दिखाना है
बहाना कर के तन्हा पार उतर जाना नहीं आता
मुसीबत का पहाड़ आख़िर किसी दिन कट ही जाएगा
मुझे सर मार कर तेशे से मर जाना नहीं आता
दिल-ए-बे-हौसला है इक ज़रा सी ठेस का मेहमाँ
वो आँसू क्या पिएगा जिस को ग़म खाना नहीं आता
सरापा राज़ हूँ मैं क्या बताऊँ कौन हूँ क्या हूँ
समझता हूँ मगर दुनिया को समझाना नहीं आता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Gunaah Shayari Shayari